Saturday, 8 March 2014

SAFAR E MERAJ KE BAAZ MUSHAHEDAAT

SAFAR E MERAJ KE BAAZ MUSHAHEDAAT
                Meraj ke safar me Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne bhot si cheezen dekhin  jo Hadees aur Shurooh e Hadees me jagah jagah muntashir hain. Imam Baihaqi ne DALAILUL NABUWWAH  jild 2 me aur Hafez Noor uddin Haithmi rah ne Majmua zawaid jild 1 me aur Allama Muhammad Bin Suleman Al MAghribi ne Jamul Fawaid jild 3 me aur Hafez Ibne Kaseer rah ne apni Tafseer me aur Allama Ibne Hishaam ne apni Seerat me jama kiya hai.
                Aalam e Alwi me jo cheezen mulaheza farmayi , riwayaat e saabiqa me unme se bhot zikr kardi gayi hain, ab Aalam e Suflaa ke baaz mushahedaat zail me likhe jate hain.
1)      HAZRAT MOOSA ALAIHIS SALAM KO QABAR ME NAMAZ PADHTE HUE DEKHNA
Hazrat Anas Razi Allahu anhu se Riwayat hai Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne bayan farmya ke Jis Raat mujhe Sair karai gayi Mai Moosa alaihi salaam par guzra wo Apni QABAR me NAMAZ padh rahe the. (SAHEEH MUSLIM JILD 2 SAFHA 268)
2)    AISE LOGON PAR GUZARNA JIN KE HONT QAINCHIYO SE KAATE JARAHE THE
Hazrat Anas razi Allahu anhu se ye bhi Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya ke
                “Jis raat mujhe Sair karai gayi us raat me, Maine kuch logo lo dekha jin ke Hont AAG ki Qainchiyon se Kaate jarahe hain, Maine Jibraeel alaihis salaam se daryaft kiya ke ye kaun log hain? Unho ne jawab diya ke ye Ap sallallahu alaihi wasallam ki UMMAT ke KHATEEB hain jo logon ko BHALAI ka hukum dete hain aur Apni Jaano ko bhool jaate hain. Aur ek Riwayat me yun hai ke Ap sallallahu alaihi wasallam ki Ummat ke KHATEEB hain jo wo Baaten kehte hain jin par wo Khud Aamil nahi, aur Allah ki Kitab padhte hain aur Amal nahi karte”
                (MISHKAATUL MASABEEH SAFHA 438)
3)      KUCH LOG APNE SEENON KO NAAKHUNON SE CHEEL RAHE THE
Hazrat Ansa Razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya ke Jis raat mujhe Meraj karai gayi mai aise Logon par guzra jin ke taambey ke Naakhun the wo Apne Chehron aur Seenon ko cheel rahe the, Maine kaha ke Aye  Jibrael ! ye kaun log hain? Unho ne jawab diya ke wo log hain jo Logon ke Gosht Khaate the ( yani unki GHEEBAT  karte hain) aur unki Be Aabrui karne me pade rehte hain.
(ABU DAWOOD, MISHKAT 429)
4)Sood Khoron ki Bad Haali:
                Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu anhu se Riwayat hai keh Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya keh jis raat Mujhe sair karayi gayi mai aise logon par guzra jin ke pet itne bade bade the ( jaise insano ke rehne ke ) ghar hote hain un me saamp the jo baher se unke peton me Nazar aarahe the. Maine kaha keh Aye Jibraeel! Ye kaun log hain unho ne kaha ye sood khane wale hain.(Mishkaatul Masabeeh safha 246)
5)Farishton ka Pachna lagane ke liye Takeed karna
                Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allahu anhu se Riwayat hai keh Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Meraj ke safar me pesh aane wali jo baaten bayan farmayin un me ek ye baat bhi thi keh Ap farishton ki jis Jamat par bhi guzre , un ho ne kaha keh Ap sallallahu alaihi wasallam apni Ummat ko Hajamat yani pachne lagane ka Hukum dijye.
                (Mishkatul masabeeh Safha 138 az Tirmizi o Ibne Majah)

                Arab me Pachne lagane ka bhot riwaaj tha, us se zaaid Khoon aur Faasid Khoon Nikal jata hai, blood pressure ka marz jo aam hogaya hai us ka bhot acha ilaaj hai, logon ne use bilkul hi chord diya hai, Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam apne sar me aur apne mondon ke darmiyan pachna lagwate the(hawala e baala)