Friday, 26 December 2014

Sharafat-E-Insani Ka Tasawwur

Islam, Musalman aur Ghair Muslim part 2

Sharafat-E-Insani Ka Tasawwur
     Baahmi(Aapsi) Insani Rawabit (Mel Jol/Ta’lluqaat)Ki Doosri Bunyad Insani Sharafat O Karamat Aur Ehteraam E Aadmiyyat Hai, Insan Ko Ba-Haisiyat Insan Allah Ta’ala Ne Qaabil-E-Ehteraam Qarar Diya Hai:
وَلَقَدْ كَرَّمْنَا بَنِي آدَمَ
“Hum Ne Insan Ko Muazzaz Banaya Hai”(Surah Bani Israil<17>:70)
Us Ke Jismani Saanche(Dhancha) Ko Behtreen Saancha Qarar Diya Gaya Hai, Irshad Hai
لَقَدْ خَلَقْنَا الْإِنْسَانَ فِي أَحْسَنِ تَقْوِيمٍ
“Hum Ne Insan Ko Behtreen Qaalib Me Paida Kiya Hai.”(At-Teen:4)
Ø     Ye Takreem O Ehteram Tamam Bani Nau(Bashar/Insan ki Aulaad) Insan Se Mutalliq Hai, Aur Is Me Musalman Aur Ghair Muslim Ki Tafreeq Nahi Hai, Paighambar-E-Islam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Amali Taur Par Is Haqeeqat Ko Wazeh Farmaya,
Ø     Ek Baar Ek Yahoodi Ka Janaza Jaraha Tha, Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Khade Hogaye, Logon Ne Arz Kiya Ke Ye Yahoodi Ka Janaza Hai, Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Jaan To Us Me Bhi Hai.
(Saheeh Bukhari Hadees No 1312)
Ø     Ghazwa-E-Ahzaab Ke Mauqe Se Ek Mushrik Musalmano Ke Hathon Maara Gaya, Ahl-E-Makkah Ne Khwahish Ki Ke Us Ki Qeemat Le Kar Laash Un Ke Hawale Karde, To Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Koi Qeemat Liye Baghair Laash Wapas Kardi
(Al-Bidaya Wan-Nihaya 4/107)
Kyun Ke Insani Naash Ki Qeemat Wusool Karna Insani Ehteram Ke Mughaair (Mukhalif)Hai
Ø     Islam Se Pehle Jung Ka Koi Qanoon Nahi Tha, Aur Log Maqtool(Jiska Qatl Kiya Gaya) Ke Aazaa Tarash Kar Haar(Necklace) Pehante Aur Apni Aatish-E-Inteqam Bujhate The, Islam Ne Ek To Hattal Maqdoor Jung Se Bachne Ka Hukm Diya, Lekin Agar Is Ki Naubat Aahi Jaye, To Jung Ke Muhazzab Qawaneen Muqarrar Kiye, Min Jumla Un Ke Ye Hai Ke Agar Koi Shakhs Giraft Me Aajaye To Iizaa (Takleef) Pohancha Kar Qatl Na Kiya Jaye, Aur Jo Maare Jayen, Un Ke Aazaa(Body Parts) Kaate Na Jayen Ke Ye Ehteraam-E-Insaniyat Ke Khilaf Hai.

(Jaame Tirmizi 2/401)

Sunday, 21 December 2014

Poori Insaniyat Ek Kumbah hai

Bismillahir Rahmanir Raheem

Islam, Musalman aur Ghair Muslim part 1

Poori Insaniyat Ek Kumbah hai

Maujoodah Ilmi haalaat ke pase manzar me Musalmano aur Ghair Muslim Bhaiyon ke darmiyan Ta’luqaat ka masla badi ahmiyat Ikhtiyar kar gaya hai, aur Afsos ke Hum is masle par Mahez Siyasi aur Maaddi Nuqta e Nazr se Ghaur karte rahe hain , Halanke Jab Hum Islam ko ek Hama Geer Aur Jame Nizam e hayaat samajthe hain, to hamaara farz hai ke Hum is masle par bhi Islami Nuqta e Nazr se sochen aur dekhen ke is baare me Haqeeqi Islami Talimat kiya hain?
Poori Insaniyat- Ek Kumbah
        Is silsile me bunyadi baat ye hai ke Quran Majeed ke irshad ke mutabiq poori Insaniyat ka Aaghaz ek hi Hasti se hua hai, Khuda ne usi hasti se us ka joda paida kiya aur us jode se poori insaniyat wujood pazeer hui:
يَاأَيُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُمْ مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًا كَثِيرًا وَنِسَاءً
Tarjuma: “Aye Logo! Apne Rab se Daro, Jis ne tum ko ek hi jaan se paida kiya hai, aur usi se us ka Joda paida kiya hai, Neez un dono se Bhot se Mard o Aurat ko wujood Bakhsha.”

(Surah Nisa: 1)

     Is tarah Islam  ki nazar me poori insaniyat ek hi kumbah aur khandaan hai, ye ek hi darakht ki shaakhen aur ek hi guldaste ke phool hain, is se hame insani Ukhuwwat(Bhai chaargi) ka sabaq milta hai, jaise ek Musalman doosre musalman ka Bhai hai, usi tarah Har Insan Insaani rishte se hamara Bhai aur Hamare Wasee’ tar Khandaan aur Kumbe ka ek Hissa hai, ye ukhuwwat O Bhai Chaargi hame Muhabbat o pyar ka paigham deti hai, aur is jaanib mutawaajah karti hai ke hamare Dil me har fard Bashar se Muhabbat honi chahye.

Friday, 12 December 2014

Islam,Musalman aur Ghair Muslim

Islam,Musalman aur Ghair Muslim.

         Islam ek hama geer aur Jame mazhab hai, jo zindagi ke tamam shobon me Insaniyat ki rehnumai karta hai, wo banda ko Khuda se jordta hai, wo ek musalman aur doosre musalman ke darmiyan rishta ukhuwwat ko istewar karta hai, wo poori insaniyat ko ek doosre ke sath Wahdat ki ladi me pirota hai, aur 2 Qaumo ke darmiyan baham rawabit(connections) ke usool par raushni dalta hai isi liye Quran o Hadees me Musalmano aur Ghair Muslimo ke talluqaat ke baare me wazeh Usool maujood hain aur Fuqaha ne Apne Ijtehadaat ke zarye unhe mazeed munaqqah (wazeh) kar diya hai.
        Maujoodah aalami haalaat me Islam aur Musalmano ke Khilaf maghribi propagandas aur Doosri taraf Mehroomi o Mayoosi se do chaar baaz mazloom Musalmano ke radd-e-Amal ki wajeh se Musalamno aur Ghair muslimo ke ta’luqaat ka Mauzoo bhot hi ahmiyat ikhtiyar kar gaya hai.
        Ye ek Haqeeqat hai ke maujooda halaat me apni mazhabi shinakht(identity) ki hifazat ke sath usi rawadaari aur murawwat ko Furoogh dene ki zaroorat hai, jo insani ukhuwwat ke tahet Ghair Muslimo ke tayeen hum par aayed hoti hai, aur jo biainihi kitab o sunnat ki taleemaat aur us ke mansha o maqsad ke mutabi hai, kyun ke Jab Talluqaat motadil honge, tabhi Allah ke bando tak Allah ke deen ki dawat pohanchai jasakegi aur Khaliq aur Makhlooq ka rishta istiwaar karne me hum kamiyaab hosakenge, Musalmano ko baher Soorat ye baat yaad rakhni chahye ke wo DAYEE hain aur doosri Qaumen Mad’oo aur Mukhatab, aur Dayee ke liye wahi yak taraf muhabbat o dardmandi matloob hoti hai, jo kisi Baap aur Maa ko apni aulaad se hoti hai.

Saturday, 6 December 2014

KYA RABI-UL-AWWAL KE MAHINE KI KHUSH KHABRI DENE SE JANNAT MILEGI

KYA RABI-UL-AWWAL KE MAHINE KI KHUSH KHABRI DENE SE JANNAT MILEGI

Ap(Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:
1 “Jo Mujh par jaan boojh kar jhoot bandhe uska thikana JAHANNAM hai."
) وحدثنا محمد بن عبيد الغبري، حدثنا أبو عوانة، عن أبي حصين، عن أبي صالح، عن أبي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «من كذب علي متعمدا، فليتبوأ مقعده من النار»
( MUQADMA SAHEEH MUSLIM HADEES NO 3)
2."Admi ke Jhoota hone ke lye yahi kafi hai k suni sunai baat (bagair tehqeeq) ke doosro tak pohanchaye."
وحدثنا عبيد الله بن معاذ العنبري، حدثنا أبي، ح وحدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الرحمن بن مهدي قالا: حدثنا شعبة، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن أبي هريرة قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «كفى بالمرء كذبا أن يحدث بكل ما سمع»
(MUQADMA SAHEEH MUSLIM BAAB NAHI ANIL HADEES BI-KULLI MAA SAMI'AA.)
* RABI-ul-Awwal ya kisi aur mahine ki mubarakbad dene se JANNAT milna kisi Hadees se sabit nahi hai, aj kal 📵 whatsapp/face book ke zarye aisi 📵 jhooti baaten Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki taraf nisbat kar ke aam ki jarahi hai aur hum jaante hue ya anjaane me unhe fwd kar ke ya share kar ke is JHOOT me shamil horahe hain aur apna thikana Jahannam me bana rahe hain.

Yaad rakhye !

⏩ Agar ap ko bhi aisa msg aya ya apne fwd ya share kiya ho to is post ko doosro tak pohancha kar Is Ghalat baat ka rad karen aur ghalat baat pohanchane ki tauba karlen aur jin jin tak pohanchaya tha un ko us baat ke ghalat hone ki ittela deden warna Qayamat ke din wo Ap ka gireban pakdenge.
==============================
󾕎 FBS