Bismillahir Rahmanir Raheem
Islam, Musalman aur Ghair Muslim part 1
Poori Insaniyat Ek Kumbah hai
Maujoodah Ilmi haalaat ke pase
manzar me Musalmano aur Ghair Muslim Bhaiyon ke darmiyan Ta’luqaat ka masla
badi ahmiyat Ikhtiyar kar gaya hai, aur Afsos ke Hum is masle par Mahez Siyasi
aur Maaddi Nuqta e Nazr se Ghaur karte rahe hain , Halanke Jab Hum Islam ko ek
Hama Geer Aur Jame Nizam e hayaat samajthe hain, to hamaara farz hai ke Hum is
masle par bhi Islami Nuqta e Nazr se sochen aur dekhen ke is baare me Haqeeqi
Islami Talimat kiya hain?
Poori Insaniyat-
Ek Kumbah
Is
silsile me bunyadi baat ye hai ke Quran Majeed ke irshad ke mutabiq poori
Insaniyat ka Aaghaz ek hi Hasti se hua hai, Khuda ne usi hasti se us ka joda
paida kiya aur us jode se poori insaniyat wujood pazeer hui:
يَاأَيُّهَا النَّاسُ
اتَّقُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُمْ مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا
زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًا كَثِيرًا وَنِسَاءً
Tarjuma: “Aye Logo! Apne Rab se
Daro, Jis ne tum ko ek hi jaan se paida kiya hai, aur usi se us ka Joda paida
kiya hai, Neez un dono se Bhot se Mard o Aurat ko wujood Bakhsha.”
(Surah Nisa: 1)
Is tarah Islam ki nazar me poori insaniyat ek hi kumbah aur khandaan hai, ye ek hi darakht ki shaakhen aur ek hi guldaste ke phool hain, is se hame insani Ukhuwwat(Bhai chaargi) ka sabaq milta hai, jaise ek Musalman doosre musalman ka Bhai hai, usi tarah Har Insan Insaani rishte se hamara Bhai aur Hamare Wasee’ tar Khandaan aur Kumbe ka ek Hissa hai, ye ukhuwwat O Bhai Chaargi hame Muhabbat o pyar ka paigham deti hai, aur is jaanib mutawaajah karti hai ke hamare Dil me har fard Bashar se Muhabbat honi chahye.

No comments:
Post a Comment