Islam, Musalman aur Ghair Muslim part 2
Sharafat-E-Insani Ka Tasawwur
Baahmi(Aapsi)
Insani Rawabit (Mel Jol/Ta’lluqaat)Ki Doosri Bunyad Insani Sharafat O Karamat
Aur Ehteraam E Aadmiyyat Hai, Insan Ko Ba-Haisiyat Insan Allah Ta’ala Ne
Qaabil-E-Ehteraam Qarar Diya Hai:
وَلَقَدْ كَرَّمْنَا بَنِي آدَمَ
“Hum Ne Insan Ko Muazzaz Banaya
Hai”(Surah Bani Israil<17>:70)
Us
Ke Jismani Saanche(Dhancha) Ko Behtreen Saancha Qarar Diya Gaya Hai, Irshad Hai
لَقَدْ خَلَقْنَا الْإِنْسَانَ فِي أَحْسَنِ تَقْوِيمٍ
“Hum Ne Insan Ko Behtreen Qaalib Me
Paida Kiya Hai.”(At-Teen:4)
Ø Ye Takreem O Ehteram Tamam Bani Nau(Bashar/Insan ki Aulaad) Insan
Se Mutalliq Hai, Aur Is Me Musalman Aur Ghair Muslim Ki Tafreeq Nahi Hai,
Paighambar-E-Islam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Amali Taur Par Is Haqeeqat Ko Wazeh
Farmaya,
Ø Ek Baar Ek Yahoodi Ka Janaza Jaraha Tha, Ap Sallallahu Alaihi
Wasallam Khade Hogaye, Logon Ne Arz Kiya Ke Ye Yahoodi Ka Janaza Hai, Ap
Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Jaan To Us Me Bhi Hai.
(Saheeh Bukhari Hadees No 1312)
Ø Ghazwa-E-Ahzaab Ke Mauqe Se Ek Mushrik Musalmano Ke Hathon Maara
Gaya, Ahl-E-Makkah Ne Khwahish Ki Ke Us Ki Qeemat Le Kar Laash Un Ke Hawale
Karde, To Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Koi Qeemat Liye Baghair Laash Wapas
Kardi
(Al-Bidaya Wan-Nihaya 4/107)
Kyun Ke Insani Naash Ki Qeemat Wusool
Karna Insani Ehteram Ke Mughaair (Mukhalif)Hai
Ø Islam Se Pehle Jung Ka Koi Qanoon Nahi Tha, Aur Log Maqtool(Jiska
Qatl Kiya Gaya) Ke Aazaa Tarash Kar Haar(Necklace) Pehante Aur Apni
Aatish-E-Inteqam Bujhate The, Islam Ne Ek To Hattal Maqdoor Jung Se Bachne Ka
Hukm Diya, Lekin Agar Is Ki Naubat Aahi Jaye, To Jung Ke Muhazzab Qawaneen
Muqarrar Kiye, Min Jumla Un Ke Ye Hai Ke Agar Koi Shakhs Giraft Me Aajaye To
Iizaa (Takleef) Pohancha Kar Qatl Na Kiya Jaye, Aur Jo Maare Jayen, Un Ke
Aazaa(Body Parts) Kaate Na Jayen Ke Ye Ehteraam-E-Insaniyat Ke Khilaf Hai.
(Jaame Tirmizi 2/401)
No comments:
Post a Comment