Islam,Musalman aur Ghair Muslim.
Islam ek hama geer aur Jame mazhab hai, jo zindagi ke tamam shobon me Insaniyat ki rehnumai karta hai, wo banda ko Khuda se jordta hai, wo ek musalman aur doosre musalman ke darmiyan rishta ukhuwwat ko istewar karta hai, wo poori insaniyat ko ek doosre ke sath Wahdat ki ladi me pirota hai, aur 2 Qaumo ke darmiyan baham rawabit(connections) ke usool par raushni dalta hai isi liye Quran o Hadees me Musalmano aur Ghair Muslimo ke talluqaat ke baare me wazeh Usool maujood hain aur Fuqaha ne Apne Ijtehadaat ke zarye unhe mazeed munaqqah (wazeh) kar diya hai.
Maujoodah aalami haalaat me Islam aur Musalmano ke Khilaf maghribi propagandas aur Doosri taraf Mehroomi o Mayoosi se do chaar baaz mazloom Musalmano ke radd-e-Amal ki wajeh se Musalamno aur Ghair muslimo ke ta’luqaat ka Mauzoo bhot hi ahmiyat ikhtiyar kar gaya hai.
Ye ek Haqeeqat hai ke maujooda halaat me apni mazhabi shinakht(identity) ki hifazat ke sath usi rawadaari aur murawwat ko Furoogh dene ki zaroorat hai, jo insani ukhuwwat ke tahet Ghair Muslimo ke tayeen hum par aayed hoti hai, aur jo biainihi kitab o sunnat ki taleemaat aur us ke mansha o maqsad ke mutabi hai, kyun ke Jab Talluqaat motadil honge, tabhi Allah ke bando tak Allah ke deen ki dawat pohanchai jasakegi aur Khaliq aur Makhlooq ka rishta istiwaar karne me hum kamiyaab hosakenge, Musalmano ko baher Soorat ye baat yaad rakhni chahye ke wo DAYEE hain aur doosri Qaumen Mad’oo aur Mukhatab, aur Dayee ke liye wahi yak taraf muhabbat o dardmandi matloob hoti hai, jo kisi Baap aur Maa ko apni aulaad se hoti hai.
No comments:
Post a Comment