Friday, 31 October 2014

Muharram aur uske Mutalliq Aqaid part 1

Muharram aur uske Mutalliq Aqaid part 1
* Muharram ke Maheene ko Matam aur Sog ka Maheena Qarar dena Jayaz nahi, Haraam hai aur Muharram ke maheene me Shadi waghaira ko Na Mubarak aur Najayaz samajhna sakht Gunah aur Ahl-e-Sunnat Wal jamat ke Aqeede ke khilaf hai, Islam ne Jin cheezon ko halal aur Jayaz qarar diya ho , aeteqadan ya amalan unko Najayaz aur Haram samajhne me Iman ka Khatrah hai.
# Fatawa Raheemiya 3/191.
* 10 Muharram ko Zikr e Shahadat ka bayan karna; agarche saheeh riwayaton se ho ya Sabeel laga kar sharbat pilana ya Chanda Sabeel sharbat me dena, ya doodh pilana ye sab saheeh nahi hai aur Rawafiz (Shiyao) se mushabahat( similarity) ki wajeh se Haraam hai.
# Fatawa Rasheediya 139
* Taziya saazi ka najayaz hona aur uska Khilaafe Deen o Iman hona Azhar minash shams hai, quran e majeeb me hai اتعبدون ما تنحتون
Kya tum aisi cheezon ki ibadat karte ho jisko tumne tarasha aur banaya hai
Zaahir hai ke Taziya insaan apne hath se tarash kar banata hai aur phir Mannat maani jati hai aur usse muraaden maangi jaati hain, uske saamne aulaad o sehat ki duaen ki jati hain, Sajda kiya jata hai, uski ziyarat ko Hazrat hussain razi allahu anhu ki ziyarat samjha jata hai,
Kya ye sab baaten Imaan ki Rooh aur Islam ki taleem ke khilaf nahiye sab baaten Bid'at aur najayz hain.
Fatawa Raheemiya 2/275, Fatawa Rasheediya 576.
* Yaum e Aashoore ke din ke Mutalliq shariyat ne 2 khaas Cheezen batlayi hain:
1. Roza rakhna,
2. Ahel o Ayaal par khaane peene me wus'at karna.
Hadees Shareef me hai ke Jisne Yaum e aashoora ke din apne baal bachon par khaane me wus'at ( kushadgi) ki to Allah Ta'ala poore saal Rozi me izafa karenge, iske ilawa us din ke liye aur koi Hukm nahi hai.
Fatawa Raheemiya 2/380.
Masael e Shirk o bid'at 214++
FBS

Sunday, 26 October 2014

Aashoore ka Roza aur Aashoore ki Bid'aat

Aashoore ka Roza:
          Muharram ki 10 aur 9 tareekh ko Roza Sunnat hai
Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya:
1. “Arfa (9 Zil haj) ke Roze ke mutalliq mujhe Allah se umeed hai ke ek Saal Guzashta aur ek Saal Aainda (ke gunahon) ka kaffara hojayega, aur Aashoore(10 Muharram) ke Roze me Allah se Umeed hai ke Guzashta Ek saal ka Kaffara hojayega.”
(Saheeh Muslim)
2. Aashoore ka Ra Roza ek Saal ke Gunahon ka Kaffara hai.(Saheeh Ibn e Hibban)
3. Agar Mai Aayenda Saal tak Zinda raha to Zaroor 9 Muharram ko Roza Rakhunga.(Saheeh Muslim)
4. Agar Mai Aayenda Saal tak raha to zaroor Aashoore se ek din pehle ya ek din baad roze ka hukum doonga.(Baihaqi)
9 Muharram ka Roza Bataure ahtiyat aur Yahood ki Mukhalifa ki wajeh se hai. Isi liye 9 Muharram ko kisi ne Roza na rakha to 11 Muharram ko rakhte. Balke “AL UMM” waghaira me hai ke 9, 10 aur 11 3 Roze Mustahab hai. Imam Ghazali rahmatullahi alaih ne 1 Muharram se 8 Muharram tak ke rozon ko Sunnat qarar diya hai. (Nihayatul Muhtaj)
Aashoore ki Bid’aat:
          Aashoore ke din ki Mashhoor  washaye Namaz, Kharch Karna, Khizaab, tel lagana , Surma lagana aur Makhsoos Pakwan waghaira Mauzoo aur iftera hai is din Surme ka Ahtemam karna Bid’at hai jise Qaatileen e Hazrat Hussain Razi Allahu anhu ne ghada hai. Aashoore ke din apne Ahel o Ayaal par kharch me tausee (kushadgi) karna Sunnat hai. Take Saal bhar ise Kushadgi ata farmaye, jaisa ke Hadees e Hasan me hai, bhot se Muhaddiseen ne use aazmaya to Mujarrab paaya. Imam Munawi farmate hain ke Ahel O Ayaal par Kushadgi ki Hadees Agarche ke Zaeef hai, lekin mUkhtalif Sanadon se warid hai isliye Majmooi taur par Quwwat haasil hoti hai, Baaz Sanadon ko Zain Iraqi aur Ibne Nasir Uddin ne Saheeh qarar diya hai.

(Tohfatul Baari  1/365)

Sunday, 19 October 2014

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #9

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #9

Hadees No 9:
عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «أَنَا قَائِدُ  الْمُرْسَلِينَ وَلَا فَخْرَ، وَأَنَا خَاتَمُ النَّبِيِّينَ وَلَا فَخْرَ، وَأَنَا أَوَّلُ شَافِعٍ وَأَوَّلُ مُشَفَّعٍ وَلَا فَخْرَ»
Hazrat Jabir Bin Abdullah Razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
          “Mai Rasoolon ka sardar hun, Mai Aakhri Nabi hun, mai sab se pehli Sifarish karne wala hun, aur sab se pehli meri Sifarish Qabool ki jayega, Meri Ye Tamam Khusoosiyaat bataur fakhr ke nahi balke Izhaar e Haqeeqat ke liye hain.”
(Sunan Darimi Hadees No 50)

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #8

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #8

Hadees No 8:
            عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَوْ كَانَ نَبِيٌّ بَعْدِي لَكَانَ عُمَرَ بْنَ الخَطَّابِ»
Hazrat Uqbah Bin Amir Razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat Umar Razi Allahu anhu ke baare me farmaya:
          “Mere baad agar kisi ka Nabi Banna Muqaddar hota to wo Umar Bin Khattab hote.”
(Sunan Tirmizi Hadees No 3686)

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #7

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #7

Hadees No 7:
حَدَّثَنَا أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِنَّ الرِّسَالَةَ وَالنُّبُوَّةَ قَدْ انْقَطَعَتْ فَلَا رَسُولَ بَعْدِي وَلَا نَبِيَّ»، قَالَ: فَشَقَّ ذَلِكَ عَلَى النَّاسِ فَقَالَ: «لَكِنِ المُبَشِّرَاتُ». قَالُوا: يَا رَسُولَ اللَّهِ وَمَا المُبَشِّرَاتُ؟ قَالَ: «رُؤْيَا المُسْلِمِ، وَهِيَ جُزْءٌ مِنْ أَجْزَاءِ النُّبُوَّةِ»
Hazrat Anas Bin Malik razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
“Nabuwwat o Risalat ka silsila yaqeeni taur par Band hogaya, ab mere baad na to koi Nabi hai aur na koi Rasool …………. Ye baat logon par Giraan guzri…. Ap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Lekin MUBASHSHARAAT to baaqi hain, Sahaba Razi Allahu anhum ne arz kiya: Aye Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam! Ye “MUBASHSHARAAT” kya hain?
Ap sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya:
MUBASHSHARAAT Musalman ke Ache Khwab hain, wo Bhi Nabuwwat ( ke fuyoozo kamalaat) ka ek hissa hain.”
(Sunan Tirmizi Hadees No 2272)

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #6

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #6

Hadees No 6:
عَنْ ثَوْبَانَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لَا تَقُومُ السَّاعَةُ حَتَّى تَلْحَقَ قَبَائِلُ مِنْ أُمَّتِي بِالمُشْرِكِينَ، وَحَتَّى يَعْبُدُوا الأَوْثَانَ، وَإِنَّهُ سَيَكُونُ فِي أُمَّتِي ثَلَاثُونَ كَذَّابُونَ كُلُّهُمْ يَزْعُمُ أَنَّهُ نَبِيٌّ وَأَنَا خَاتَمُ النَّبِيِّينَ لَا نَبِيَّ بَعْدِي»
Hazrat Sauban Razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
          “Meri Ummat me 30 Jhoote paida honge, un me ka har ek ye (Jhoota) dawa karega ke Mai Nabi hun, Haalanke Mai Aakhri Nabi hun, Mere baad koi Nabi nahi.”
(Sunan Tirmizi Hadees No 2219)

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees No 5

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees No 5

Hadees No 5:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ” فُضِّلْتُ عَلَى الْأَنْبِيَاءِ بِسِتٍّ: أُعْطِيتُ جَوَامِعَ الْكَلِمِ، وَنُصِرْتُ بِالرُّعْبِ، وَأُحِلَّتْ لِيَ الْغَنَائِمُ، وَجُعِلَتْ لِيَ الْأَرْضُ طَهُورًا وَمَسْجِدًا، وَأُرْسِلْتُ إِلَى الْخَلْقِ كَافَّةً، وَخُتِمَ بِيَ النَّبِيُّونَ “
Hazrat Abu Huraira razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
“Mujhe 6 cheezon me Ambiya e Kiram par fazeelat di gayi hai:
1.Ek ye ke Mujhe Jamiyul Kalimaat diye gaye,
2.Doosre ye ke Ro’b ke sath meri madad ki gayi,
3.Teesri ye ke maal e Ghanimat mere liye Halal kardiya gaya,
4.Chauthe ye ke Zameen mere liye Masjid aur paak karne wali cheez bana di gayi,
5.Panchwi ye ke Mujhe tamam Makhlooqaat ki taraf bheja gaya aur
6.chati baat ye ke mujh par Nabiyon ka silsila Khatm kardiya gaya.
(Saheeh Muslim Hadees No 523)

Saturday, 18 October 2014

NARMI IKHTYAR KARO SAKHTI IKHTYAR MAT KARO

NARMI IKHTYAR KARO SAKHTI IKHTYAR MAT KARO
Ap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Bila Beshuba Deen Bohot aasan hai aur jo shakhs deen me sakhti ikhtyar karega to deen us par Ghalib ajayega is liye apne amal me isteqamat ikhtyar karo aur jahan tak hosake miyana rawi barto  (aetedal/beech ki raah ikhtyar karo) , khush hojao ( ke is tarz e amal par Allah ke yahan ajr milega) aur Subah, Dopahar, Sham aur kisi Qadar raat me (Ibadat se) madad haasil karo.
(Saheeh Bukhari hadees 39)
Aj kal Bhot se Masael hamari bejaa sakhti aur kam ilmi ki bunyaad par pesh aarahe hain.
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «إِنَّ الدِّينَ يُسْرٌ، وَلَنْ يُشَادَّ الدِّينَ أَحَدٌ إِلَّا غَلَبَهُ، فَسَدِّدُوا وَقَارِبُوا، وَأَبْشِرُوا، وَاسْتَعِينُوا بِالْغَدْوَةِ وَالرَّوْحَةِ وَشَيْءٍ مِنَ الدُّلْجَةِ»

حضرت ابو ہریرہؓ سے روایت ہے وہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کرتے ہیں کہ آپ نے فرمایا
            «بلا شبہ دین بہت آسان ہے اور وہ شخص جو دین میں سختی اختیار کرے گا تو دین اس پر غالب آجائے گا( اس لئے) اپنے عمل میں استقامت اختیار کرو اور (جہاں  تک ہوسکے) میانہ روی برتو، خوش ہوجاؤ (کہ اس طرز عمل پر اللہ کے یہاں اجر ملے گا) اور صبح،دوپہر ،شام اور کسی قدر رات میں (عبادت سے) مدد حاصل کرو۔»
(صحیح بخاری حدیث 39)


Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees No 3& 4

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees No 3& 4

Hadees No 3:
عَنْ أَنَسٍ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «بُعِثْتُ أَنَا وَالسَّاعَةَ كَهَاتَيْنِ»

Hazrat Anas Razi Allahu anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne apni darmiyani Ungli aur Shahadat ki ungli ko Mila kar Irshad farmaya:
“Mujhe aur Qayamat ko in do ungliyon ki tarah bheja gaya”
(Saheeh Bukhari, Hadees No 6504)
Hadees No 4:
عَنْ فُرَاتٍ القَزَّازِ، قَالَ: سَمِعْتُ أَبَا حَازِمٍ، قَالَ: قَاعَدْتُ أَبَا هُرَيْرَةَ خَمْسَ سِنِينَ، فَسَمِعْتُهُ يُحَدِّثُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: «كَانَتْ بَنُو إِسْرَائِيلَ تَسُوسُهُمُ الأَنْبِيَاءُ، كُلَّمَا هَلَكَ نَبِيٌّ خَلَفَهُ نَبِيٌّ، وَإِنَّهُ لاَ نَبِيَّ بَعْدِي، وَسَيَكُونُ خُلَفَاءُ فَيَكْثُرُونَ»
Hazrat Abu Haazim rahmatullahi alaih ka bayan hai ke Mai Sahabi e Rasool Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu anhu ki khidmat me 5 saal raha, mai ne Unhe Nabi sallallahu alaihi wasallam ki ye hadees bayan karte hue suna ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
“Bani Israil (Hazrat Moosa Alaihis salam ki Qaum) ki qiyadat khud un ke Ambiya karte the, jab kisi Nabi ki wafaat hoto to doosre Nabi un ke janasheen hote, lekin mere baad koi Nabi nahi, Albatta Khulafaa honge aur wo bhot honge.”
(Saheeh Bukhari Hadees No 3455)

Aqeeda Khatm e Nabuwwat Hadees No 2

Aqeeda Khatm e Nabuwwat Hadees No 2

عَنْ أَبِيهِ، أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: «أَنَا مُحَمَّدٌ، وَأَنَا أَحْمَدُ، وَأَنَا الْمَاحِي، الَّذِي يُمْحَى بِيَ الْكُفْرُ، وَأَنَا الْحَاشِرُ الَّذِي يُحْشَرُ النَّاسُ عَلَى عَقِبِي، وَأَنَا الْعَاقِبُ وَالْعَاقِبُ الَّذِي لَيْسَ بَعْدَهُ نَبِيٌّ»

Hazrat Jubair Bin Mut’im Razi Allahu anhu apne walid se Riwayat karte hain kehte hain ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
“Mere chand Naam hain:
Mai MUHAMMAD hun, Mai AHMAD hun, Mai MAAHI (Mitane wala) hun ke mere Zarye Allah Ta’ala Kufr ko Mitayenge, Mai HAASHIR (Jama karne wala) hun ke Log mere Qadmon par uthaye jayenge aur Mai AAQIB (Sab Nabiyon ke baad aane wala) hun ke Mere Baad koi Nabi nahi.”
(Saheeh Muslim, Kitabul Fazael, Baab Fii Asmaaih s.a.w, Hadees No 2354)

Friday, 17 October 2014

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #1

Aqeeda Khatme Nabuwwat Hadees #1

Hazrat Abu Huraira razi Allahu anhu bayan karte hain ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya:
“Meri aur mujh se pehle Ambiya (AS) ki misaal aisi hai ke jaise ek Shakhs ne bhot hi khoobsoorat aur khushnuma ghar tameer kiya, dauraane tameer Ghar ke kisi kone me ek Eent ki jagah baaqi reh gayi thi, log (Dost o Ahbab, rishtedar) us shakhs ka tameer kardah ghar dekhne ke liye aaye, ghoom phir kar ghar dekhne lagey, ghar ke husn o khoobsoorti ki tareef bhi karne lagey,( is dauraan un logon ki Nazar ghar ke koney ki taraf padti hai, jahan ek Eent ki jagah khaali rehgayi thi) usi waqt kehne lagte hain :
“ ye ek Eent ki jagah kyun chord di gayi?”….
yahan Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne samjhane ke andaz me farmaya :
“Mai wahi koney ki aakhri Eent hun aur Mai Nabiyon ke silsile ko Khatm karne wala hun.”
(SAHEEH BUKHARI, Baab Khatimun Nabiyyen, Hadees No: 3535)

Qayamat ki Nishaniyaan

BUS QAYAMAT KA INTEZAAR HAI

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
1. Jab Maal E Ghanimat Ko Shaqsi Daulat Bana Lya Jaye, Aur
2. Jab Logon Ki Amanat Ko Maal E Ghanimat Samajh Lya Jaye Aur
3. Jab Zakat Ko Ek Tawaan (Tax) Samjha Jane Lagey Aur
4. Jab Ilm E Deen Ko Dunya Talabi Ke Lye Seekha Jane Lagey Aur
5. Jab Mard Apni Biwi Ki Ita’at Aur Maa Ki Nafarmani Karne Lagey, Aur
6. Dost Ko Apne Qareeb Kare Aur Baap Ko Door Rakhe, Aur
7. Masjidon Me Shor O Ghal Hone Lagey Aur
8. Qabeele Ka Sardar Unka Fasiq Badkaar Ban Jaye Aur
9. Jab Qaum Ka Sardar Unme Arzal Badtareen Admi Hojaye, Aur
10. Jab Shareer Admio Ki Izzat Unke Shar Ke Khauf Se Ki Jane Lagey Aur
11. Jab Gaane Wali Aurton Aur Baajon Gaajon Ka Riwaaj Aam Hojaye Aur
12. Jab Sharaaben Pii Jaane Lagey Aur

13. Is Ummat Ke Akhri Log Pehle Logo Par Lanat Karne Lagey,

To Us Waqt Tum Intezar Karo Ek Surkh Andhi Ka Aur Zalzale Ka Aur Zameen Khasaf Hojane Aur Soorten Maskh Hojane Ka Aur Qayamat Ki Aisi Nishaniyo Ka Jo Yake Baad Deegre Is Tarah Ayengi Jaise Kisi Haar Ki Ladi Toot Jaye Aur Uske Daaney Baik Waqt Bikhar Jate Hain.
[Sunan Tirmizi]
Tambeeh:- Is Hadees Ke Alfaz Ko Bar Bar Padhye Aur Dekhye Ke Is Waqt Ki Dunya Ka Poora Poora Naqsha Hai, Aur Wo Gunah Jo Musalmano Me Aam Hochuke Hai Aur Badhte Jarahe Hai Unki Khabar 1400 Saal Pehle Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Dedi Hai, Aur Musalmano Ko Is Par Mutanabbah Kiya Hai Ke Aise Halaat Se Bakhabar Rahen, Aur Gunaho Se Bachne Bachane Ka Ehtmam Karen, Warna Jab Ye Gunah Aam Hojayenge To Aise Karne Walo Par Asmani Azaab Nazil Honge, Aur Phir Qayamat Ki Akhri Alamaat Samne Ajayengi.
Ghaur Karen Aj Gaane Aur Naachnd Wali Aurto Ko Izzat Se Dekha Jaraha Hai Dost Ko Qareeb Aur Baap Ko Door Kiya Jaraha Hai,
Gaane Bajane Aam Hai,
Maa Baap Ki Nafarmani Aam,
Shareer Ki Uske Shar Ki Wajeh Se Izzat Waghaira Waghaira.
Musalmano Jaago, Gunaho Se Bacho Warna Allah Ka Azaab Ayega.
Tauba Karo Mere Bhaiyo.
FBS

DEEN AASAAN HAI

DEEN AASAAN HAI

DALAIL KE ISLAAM AASAAN DEEN HAI

KYA ALLAH TA’ALA  KE YE FARAMEEN DALALAT NAHI KARTE KE DEEN AASAAN HAI:
  1. ALLAH TA’ALA farmate hain
وَمَا جَعَلَ عَلَيْكُمْ فِي الدِّينِ مِنْ حَرَجٍ
Aur tum par Deen ke mamle me koi tangi nahi rakhi
[Surah Haj 78]
يُرِيدُ اللَّهُ بِكُمُ الْيُسْرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ الْعُسْرَ
Allah tumhare sath aasani ka mamla karna chahte hai aur tumhare liye Mushkil paida karna nahi chata.
[surah Baqara 185]
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا
Allah kisi bhi shakhs ko uski wus’at se ziada zimmadari nahi sompta
[surah Baqara 286]
و قَالَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
“إِنَّ الدِّينَ يُسْرٌ”
Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
          “Beshak Deen Aasaan hai”
[Saheeh Bukhari, Kitabul Iman, Baab Deen aasaan hai]

Islaam ke asaan hone par misalen:
1. Baith kar Namaz padhna us shakhs ke liye jisko khade hone me takleef ho
قَالَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
صَلِّ قَائِمًا فَإِنْ لَمْ تَسْتَطِعْ فَقَاعِدًا فَإِنْ لَمْ تَسْتَطِعْ فَعَلَى جَنْبٍ

“khade hokar namaz padho agar tum isteta’t na rakhte ho to baith kar padho to agar tum iski bhi isteta’t na rakhte ho to lait kar padho.”
[SAHEEH BUKHARI, KITABUL JUMA]

  1. 2.  4 Rakaat wali namaz me Qasr karna aur Jama bainas salaatain karna Musafir ke liye
القرآن:
وَإِذَا ضَرَبْتُمْ فِي الْأَرْضِ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَقْصُرُوا مِنَ الصَّلَاةِ
“aur jab tum Zameen me safar karo aur tumhe is baat ka khauf ho ke Kaafir log tumhe pareshan karenge to tum par is baat ka koi Gunah nahi hai ke tum Namaz me Qasr karlo.
[Surah Nisaa ayat 101]

Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Safar me Zohar aur Asar ki Namaz ek sath padhte the isi tarah Maghrib aur Isha ki bhi ek sath padhte the.
[Saheeh Bukhari, Kitab AL Jumaa Hadis No: 1038]

MAAHE RAJJAB CHAND GHALAT FEHMIYO KA IZAALA

ALHAMDU LILLAHI WA KAFAA WA SALAMUN ALAA IBADIHIL LAZEENAS TAFAA. AMMA BA’AD
Maahe Rajab ke bare me logon ke darmyan tarah tarah ki ghalat fehmiyan phail gayi hain. Unki Haqeeqat samajhlene ki zaroorat hai.
RAJAB KA CHAND DEKH KAR AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA AMAL:
Is poore mahine ke bare me jo baat saheeh sanad se Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam se sabit hai , wo ye hai ke jab Ap Rajab ka Chand dekh  kar Ap ye dua farmaya karte the ke:
اللهم بارك لنا في رجب و شعبان و بلغنا رمضان
Aye Allah! Hamare liye Rajab aur Sha’baan ke mahine me barkat ata farmayye aur Hame Ramazan tak pohanchayye, yani Hamari Umar itni kar dijye ke hum apni Zindagi me Ramazan ko paalen, goya ke pehle se Ramazanul Mubarak ki aamd ka Ishtiyaq hota tha. Ye Dua AP sallallahu alaihi wasallam se SAHEEH SANAD ke sath sabit hai, is liye ye DUA karna SUNNAT hai, aur agar kisi ne Shuru Rajab me ye DUA na ki ho to wo ab ye Dua karle. Iske Ilawa aur Cheezen jo aam logon me MAshhoor hogaya hain, un ki SHARI’AT me koi asal aur Bunyaad nahi.
SHAB-E-MERAJ KI FAZEELAT SABIT NAHI
MASLAN 27 Rajab ki shab ke bare me ye Mashhoor hogaya hai ke ye SHAB-E-MERA hai aur is Shab ko bhi usi tarah guzarna chahye jis tarah Shab e Qadr guzari jati hai aur jo Fazeelat Shab e Qadr ki hai , kam o besh Shab e Meraj ki wahi Fazeelat samjhi jati hai, balke Maine to ek jagah ye likha hua dekha ke “SHAB E MERAJ KI FAZEELAT SHAB E QADE SE BHI ZIADA HAI”, aur phir us raat me logo ka Namazon ke bhi Khaas khaas tareekhe Mashhoor kardiye ke us raat  me itni Rakaten padhi jayen aur har Rakaat me Fulaan Fulaan khaas Soorten padhi jayen. Khuda jane kya kya Tafseelaat is namaz ke bare me Logon me Mashhoor hogaya. Khoob samajh lijye , ye Sab be asal baaten hain, Shariat me inki koi asal aur koi bunyaad nahi.
SHAB-E-MERAJ KI TA’YEEN ME IKHTELAAF
Sab se pehli baat to ye hai ke 27 RAJAB ke bare me yaqeeni taur par nahi kaha jasakta ke ye wahi Raat hai jisme Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam MERAAJ par tashreef le gaye the, kyu ke is baab me mukhtalif riwayaten hain. Baaz riwayaton se Maloom hota hai ke Ap sallallahu alaihi wasallam RABI UL AWWAL me tashreef legay the , baaz riwayaton me RAJAB ka zikr hai aur Baaz Riwayaton me koi aur Mahina bayan kiya gaya hai. Is liye poore yaqeen ke sath nahi kaha ka sakta ke kaunsi raat Saheeh Maine em MERAJ ki raat thi, jisme Huzoor sallallahu alaihi wasallam MERAJ tashreef legaye.
WAQIA E MERAJ KI TAREEKH KYU MEHFOOZ NAHI?
Is se ap khud andaza karlen ke agar Shab e Meraj bhi Shab e Qadr ki tarah koi Makhsoos raat hoti aur uske bare me koi khaas Ahkaam hote jis tarah Shab e Qadr ke bare me hai to us tareekh aur Mahina Mehfooz rakhne ka ahtemam kiya jata. Lekin chunke is tareekh ko Mehfooz rakhne ka ahtemam nahi kiya gaya to ab Yaqeeni taur se 27 Rajab ko Shab e Meraj qarar dena durust nahi.
WOH RAAT AZEEMUSH SHAAN THI
Aur agar bil farz ye tasleem bhi kar liya jaye ke Ap sallallahu alaihi wasallam 27 Rajab hi ko Meraj tashreef le gaye the , jis me ye azeemush shaan waqia pesh aya aur jisme Allah Ta;ala ne Nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ko ye Maqaam ata farmaya aur apni baargaah me hazri ka sharf bakhsha, aur Ummat ke liye Namazon ka tohfa bheja, Beshak wo Raat badi Azeemush Shaan thi, kisi Musalman ko uski azmat me kya shubah ho sakta hai?
APKI ZINDAGI ME 18 MARTABA SHAB E MERAJ KI TAREEKH AYI LEKIN
Ye waqia san 5 Nabawi me pesh aya yani Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Nabi banne ke panchwe saal ye Shab e Meraj I, jiska matlab ye hai ke is waqie ke baad 18 saal tak ap dunya me tashreef farma rahe, lekin in 18 saal ke dauraan ye kahi sabit nahi ke Ap sallallahu alaihi wasallam ne Shab e Meraj ke bare me koi Khaas hukum diya ho, ya us ko manane ka Ahtemam farmaya ho , ya uske bare me ye farmaya ho ke us raat me Shab e Qadr ki tarah Jaagna ziada Ajr O Sawaab ka baais hai, na to apo ka aisa koi Irshad sabit hai aur na ap ke zamane me is raat me jaagne ka ahtemam sabit hai, na khud Huzoor sallallahu alaihi wasallam Jaagey, aur na Sahaba Ikram Razi Allahu anhum ko is ki takeed ki aur na Sahaba Ikram Razi Akkahu anhum ne apne taur par iska ahtemam farmaya.
USKE BARABAR KOI AHMAQ NAHI
Phir Sarakar e Do Alam sallallahu alaihi wasallam ke dunya se tashreef le jane ke baad 100 saal tak Sahaba Ikram Razi Allahu anhum Dunya me maujood rahe, is poori Sadi(100 years) me koi ek waqia aisa sabit nahi hai , jis me Sahaba Ikram Razi Allahu anhum ne 27 rajab ko Khaas ahtemam kar ke manaya ho, jo Cheez Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam ne nahi ki aur jo ap sallallahu alaihi wasallam ke Sahaba Ikram Razi Allahu anhm ne nahi ki usko deen ka hissa qarar dena ya usko Sunnat qarar dena ya uske sath Sunnat jaisa Mamla karna BID’AT hai, agar koi shaqs ye kahe ke mai(Ma’azallah) Huzoor sallallahu alaihi wasallam se ziada janta hu ke kaunsi raat ziada fazeelat wali hai ya koi shaqs ye kahe ke Sahaba Ikram Razi Allahu anhum se ziada Mujhe Ibadat ka zauq hai agar Sahaba Iikiram Razi Allahu anhum ne ye amal nahi kiya to mai usko karunga, uske barabar koi ahmaq nahi.
BANYE SE SAYANA SO BAULA
Hamare walid Hazrat Mufti Muhammad Shafi’ sahib Qaddasallahu Sirrahu farmaya karte the ke Urdu me ek Misaal aur kahawat hai jo Hindustan ke andar mashhoor thi ab to log uske Maine bhi nahi samajhte , wo ye ke:
“BANYE SE SAYANA SO BAULA”
Yani jo shakhs ye kahe ke mai Tijarat me Banye se ziada hoshyaar hun, mai use ziada tijarat ke Gur janta hi to haqeeqat me wo shakhs BAAULA yani PAGAL hai, ik liye ke Banye se ziada tijarat ke gur janne wala aur koi nahi hai, ye to aam Zarbul misaal ki baat thi.
SAHABA IKRAM SE ZIADA DEEN KO JANNE WALA KAUN?
Lekin jahan tak deen ka talluq hai , haqeeqat ye hai ke Sahaba Ikram Razi Allahu anhum , Tabaeen aur Tabe Tabaeen deen ko sab se ziada janne wale , deen ko Khoob samajhne walw , deen par Mukammal taur par amal karne wale the, ab agar koi shakhs ye kahre ke mai unse ziada Deen ko janta hu ya unse ziada Deen ka zauq rakhta hu ya unse ziada Ibadat guzar hu to haqeeqat me wo shakhs pagal hai, wo deen ki Fahem nahi rakhta.
IS RAAT ME IBADAT KA AHTEMAM BID’AT HAI
Lihaza is raat me Ibadat ke liye khaas ahtemam karna Bid’at hai , yun to har raat me Allah Ta’ala jis Ibadat ki taufeeq de wo behter hi behter hai , aj ki raat bhi jag len, kal ki raat bhi jag len, isi tarah sattaswi(27th) raat ko jaag len, dono me koi farq aur koi numaya Imtiyaz nahi hona chahye.
27 RAJAB KA ROZA SABIT NAHI
Isi tarah 27 Rajab ka roza hai, baaz log 27 Rajab ke rozey ko fazeelat wala roza samajhte hain, jaise Aashurey aur Arfa ka roza fazeelat wala hia isi tarah 27 Rajab ke Roze ko bhi fazeelat wala Roza khayal kiya jata hai, baat ye hai ke ek ya do zaeef riwayaten to iske bare me haim, lekin Shaeeh Sanad se koi Riwayat sabit nahi.
HAZRAT FAROOQ E AZAM NE BID’AT KA SADDE BAAB KIYA
Hazrat Farooq e Azam Razi Allahu anhu ke zamane me baaz log 27 rajab ko roza rakhne lagey , jab Hazrat Farooq e Azam raz ko pata chala ke 27 Rajab ka khaas ahtemam kar ke log Roza rakh rahe hain, to chaunke un ke yahan  deen se zara idhar udhar hona mumkin nahi tha, chunanche wo fauran ghar se Nikal pade aur ek ek shakhs ko jakar zabardasti farmate ke tum mere samne Khaan a khao aur is baat ka saboot do ke tumhare roza nahi hai, baqaeda ahtemam kar ke logon ko khana khilaya , taake logo ko ye khayal na ho ke aj ka Roza ziada Fazeelat ka hai . balkeye jaise aur dino me Nafli Rozey rakhe jasakte hain usi tarah is din ka bhi Nafli Roza rakha jasakta hai, dono me koi farq nahi. Ap ne ye ahtemam is liye farmaya taake BID’AT ka Sadde baab ho aru deen ke andar apni taraf se ziadti na ho.
RAAT ME JAAG KAR KAUNSI BURAI KARLI?
Isi se ye baat bhi maloom hui ke baaz log jo ye khayal karte hain ke agar hum ne is raat me jag kar Ibadat karli aur din me Roza rakhliya to kaunsa Gunah karliya? Kya hum ne Chori karli? Ya Sharab peeli? Ya Daala daala? Humne Raat me Ibadat hi to ki hai, aur agar Din me Roza rakh liya to kya kharabi ka kaam kiya?
DEEN “ITTEBAA” KA NAAM HAI
Hazrat Farooq e Azam razi Allahu anhu ne ye batla diya ke Kharabi ye hui ke is din ke andar Roza rakhne Allah Ta’ala ne nahi bataya aur khud sakhta ahtemam iltezaam hi asa kharabi hai. Mai ye kayi baar arz kar chukka hu ke saare DEEN ka Khulasa “ITTEBA” hai ke Allah aur Rasool ka Hukum maano , na Roza rakhne me kuch rakha hai, na Iftar karne me kuch rakha , na Namaz padhne me kuch rakha, jab Hum kahen ke Namaz padho to namaz padhna Ibadat hai aur jab hum kahen ke Namaz na padho o Namaz na padhna Ibadat hai, jab hum kahen ke Roza rakho to Roza rakhne Ibadat hai aur jab hum kahen ke Roza na rakhi to roza na rakhne Ibadat hai, agar us waqt Roza rakhoge to Ye DEEN ke khilaf hoga. Deen ka Saara khel Itteba me hai, agar Allah Ta’ala ye haqeeqat Dil me utar de to saari Bid’aton ki khud sakhta Iltezamaat ki jad kat jaye.
WO DEEN ME ZIADTI KAR RAHA HAI
Ab agar koi shakhs is Roze ka ahtemam kare to wo Deen me apni taraf se ziadti kar raha hai aur Deen ko apni taraf se ghard raha hai. Lihaza is nuqte e Nazar se Roza rakhne Jayaz nahi. Haan! Albatta agar koi shakhs aam dino ki tarah isme bhi Roza rakhne chahta hai to rakh le , iski mumaniyat nahi, lekin iski ziada FAZEELAT samajh ka , isko SUNNAT samajh kar, isko ziada mustahab aur ziada Ajr o Sawab ka Mojib samajh kar is din Roza rakhne, ya us Raat me Jaagna durust nahi, balke BID’AT hai.
KUNDON KI HAQEEQAT
Shab e Meraj ki to phir bhi kuch asal hai ke is raat me Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam itne Aala muqaam par tashreef legaye lekin is sebhi ziada aj kal Muashre me Farz o Wajib ke darje me joo cheez phail gayi hai wo KUNDEY hain, agar aj kisi ne kundey nahi kiye to wo Musalman hi nahi, Namaz  padhe ya na padhe, Roze rakhe ya na rakhe , Gunahon se bache ya na bache, lekin KUNDEY zaroor karey, agar koi Shakhs na kare ya karne walon ki mana kare to us par LANAT aur malamat ki jati hai, Khuda jaane ye KUNDEY kahan se Nikal aye? Aur Quran o Hadees me, Sahaba ikram  razi Allahu anhum se, Tabaeen se ya Tabe tabaeen aur Buzrugan e Deen se, kahin se iski koi asal sabit nahi, aur isko itna zaroor samjha jata hai ke agar Ghar me Deen ka koi doosra kaam ho ya na ho, lekin Kundey zaroor hon, iski wajeh ye hai ke isme zara Maza aur Lazzat aati hai, aur hamari Qaum Lazzat aur Mazey ki Khugar hai, koi mela thaila hona chahye aur koi Hazz e Nafs ka saman hona chahye, aur hota ye hai ke Janab! Pooriyan pak rahi hain, HALWA pak raha hai, aur idhar se udhar jarahi hai aur udhar se idhar aarahe hain aur ek mela ho raha hai to chaunke ye bada mazey ka kaam hai is wastey Shaitan ne isme Mashghool kardiya ke NAMAZ padho ya na padho, wo koi zaroori nahi magar ye kaam zaroor hona chahye.
YE UMMAT KHURAFAAT ME KHO GAYI
Bhai! In cheezon ne hamari Ummat ko Kharafaat me Mubtala kardiya hai
HAQEEQAT RIWAYAAT ME KHO GAYI
YE UMMAT KHURAFAAT ME KHOGAYI
Ke is qisam ki cheezon ko laazmi samajh liya gaya aur Haqeeqi cheezen pas e pusht daal di gayin, iske bare me rafta rafta apne Bhaiyo ko samjhane ki zaroorat hai, isliye ke Bhot se log Sirf na waqfiyat ki wajeh se karte hain unke Dilon me koi Inaad nahi hota, lekin Deen se waqif nahi, un becharon ko iske bare me pata nahi wo samajhte hain ke jis tarah EID UL AZHAA ke mauqe par Qurabani hoti hai aur gosht idhar se udhar jata hai ye bhi Qurbani  ki tarah koi zaroori cheez hogi, aur Quran o Hadees me iska bhi koi saboot hoga, is liye aise logon ko Muhabbat , pyar aur Shafaqqat se samjhaya jaye aur aisi taqreebaat me Khud Shareek hone se parhez kiya jaye.
KHULASA
BAHERHAAL! KHULASA YE HAI KE Rajab ka Mahina Ramazan ka muqaddama hai is liye Ramazan ke liye pehle se apne ap ko tayyar karne ki zaroorat hai is liye Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam 3 mahine pehle se Dua bhi farma rahe hain aur logon ko tawajjeh dila rahe hain ke ab is Mubarak mahine ke liye apne apko tayyar kar lo aur apna Nizaamul auqaat aisa banana ki fikr karo ke jab ye  Mubarak mahina aye to uska ziada waqt Allah ki Ibadat me sarf ho. Allah Ta’ala apni Rehmat se iski Fahem ata farmaye aur Saheeh taur par Amal karne ki taufeeq ata farmaye . AMEEEN
WA AAKHIRU DA’WANA ANIL HAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN

[MUFTI TAQI USMANI DAMAT BARKATUHUM]
Book link:- https://archive.org/details/MAAHERAJJAB

JAAHILIYAT KA ZAMANA AUR AJ KA

JAAHILIYAT KA ZAMANA AUR AJ KA

Zamanae Jahiliyat me jaise hi kisi ko uske Ghar me BACHI ki paidaish ki Khabar di jaati uska Chehra GHUSSE se Mutaghayyar hojata aur ye TAKLEEF dah KHABAR sunkar wo SHARMINDGI ke MAare uske Chehre par Tareeki chah jati, ye Khabar is Qadar buri lagti ke wo logon ka Samna karne se Sharmata aur usey yaqeen hojata ke usey 2 Kaamo me se Ek kaam karna hi hoga ya to BACHI ko Zindah Rakh kar MASHREY me ZILLAT o RUSWAAI ki Takleef bardasht karta ya phir us bachi ko ZINDA dar gor karke SHARMINDGi ke daagh ko dho dale,
Allah ta’al ne Quran paak me kuch is tarah uska Naqsha kheencha:
“Aur Jab unme se kisi ko BETI paida hone ki KHABAR milti hai to uska MUH GHAM ke sabab Kaala apd jata hai aur eo Andar hi Andar Ghutne lagta hai, aur is Khabar e Bad  ke sabab Jo wo Sunta hai Logo se Chupta phirta hai sochta hai ke Ye Zillat BARDASHT kar ke LADKI ko ZINDA rehna de ya ZAMEEN me Gaard de, Dekho ye Jo Tajweez karte hain Bhot BURI hai.”
                           [SURAH AL NAHAL ayat 58,59]
Ghaur karen Aj ABORTION ke taur par Musalmaan bhi yahi kaam kar rahe yaad rakhen ALLAH TA”ALA hi Rizq dene wala hai
                   “ Aur Naddari (ke andeshe) se apni AULAAD ko Qatal na karna kyu ke Tumko aur un ko HUM Rizq dete hain”
                                                [Surah Al An’aam ayat 151]
Aur Yaad rakhen jo Is Jurm ka irtekaab karega ALLAH use Qayamat ke Roz Hum kalaam na honge balke Allah Subhanahu Ta’ala un be Gunaah Bachon se Hum kalaam honge aur unse poochenge ke Unhe kis Gunaah ke Sabab Qatl kiya gaya. Zulm o Ziyadti karne wale apne JURM ki poori  poori Saza bhuktenge.
Quran Majeed Surah Takweer Ayat 9, 10 me hai
                   “Aur Jab us Ladki se jo Zinda DAFNA di gayi ho poocha jayega ke Wo kis Gunah par maar di gayi.”
          Akhir me Ek Waqia padhlen jis se pata chal jayega ke ye Amal kitna Na pasandeeda hai
                   “Ek dafa ek Sahabi Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam ki Khidmat me Haazir hue aur Ap sallallahu alaihi wasallam ke samne Zamanae Jaahiliyat ki is Wehshiyana Rasm ka Tazkira karte hue kaha:
          “Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam Hum Zamanae Jaahiliyat me BUTON ki pooja kiya karte the aur apni aulaad ko Zinda dar gor kiya karte the. Meri Ek beti thi jab wo kuch badi hui, baaten samajhne lagi , mere Aagey peeche chalne lagi aur mere Bulane par Khushi se Daudi chali aati to Ek din maine use bulaya aur wo mere peeche chal padi. Jab Mai ghar se Qareeb hi ek Kunwe ke paas pohancha to maine usey HATH SE PAKAD KAR KUNWEY ME PHENK DIYA uski Zaban par Akhri Kalimaat “MERE PYARE ABBA JAAN! MERE PYARE ABBA JAAN!” the.
          Ye Waqia sunkar Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam is Qadar ROOYE KE AP sallallahu alaihi wasallam KI ANKHON SE AANSU TAPAKNE LAGEY. Hazireen e Majlis me se ek Aadmi ne Qissa bayan karne wale se kaha : “Tumne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko GHAMGEEN kardiya!” is par Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmya :
“Ise malamat mat karo kyu ke Wo apne liye pareshani ki Baais Cheez ke baare me poochna chah raha hai.”
          Aur phir Ap sallallahu alaihi wasallam ne use farmaya: “ Apni Baat phir se kaho”
Chunanche unho ne Dubara Qissa bayan kiya Jis Par Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Dubara is Qadar ROYE KE APKE AANSOO APKI DADHI MUBARAK PAR TAPAKNE LAGEY, phir Ap sallallahu alaihi wasallam  us shaqs ki taraf Mutawaajh hue aur Irshaad farmaya :
          “ALLAH Ta’ala ne ZAMANAE Jaahiliyat ke Tamam Amaal ko Maaf kar diya hai islye tum naye sire se Amaal karo.”
                             [Sunan Daarimi muqadma hadis no 2]
          Aye Musalmano apni Betiyo ko Khatm na karo , socho Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ko Kitni Takleef hoti hai is amal se, Hamare Nabi sallallahu alaihi wasallam to LADKIYO wale hum Ladkiyo se kis lye Nafrat karen, us Sahabi ke Waqie ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko Kitna Rulaya, ISLAM ne AURAT ko IZZAT di hai tum JAAHILIYAT ka AMAL na karna Qayamat ke Din Ladkiyo aur Un aulaad se poocha jayega jisko tumne Abortion etc se Qatl kiya K TUM KIS JURM KI SAZA ME QATL KI GAYI HO.
                   Allah Hame SHARIAT par Kaamil Amal karne Wala banade aur Allah par Kaamil bharosa Inayat farmaya.
Ameen.
FBS

Islami Tehzeeb

Islami Tehzeeb

HAME ISLAMI TEHZEEB PASAND HAI???
Assalamu alaikum.
Aj hame Islami Tehzeeb ke bajaye Europe ki tehzeeb pasand hai,Aj hame Nabi kareem sallallahu alaih wasallam ke bajaye Ghairo se mutashabihat karna ziada pasand hai.
Aj Hame Islamic Culture ke bajaye Isai culture ziada pasand hai.
Hazrat Abdullah Bin Omer Razi Allahu anhuma ne farmaya keh Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya keh
Jis Shakhs ne kisi Qaum ki (Sooratan bhi) mushabahat ikhtyar ki wo (anjaam kar) usi Qaum me se (haqeeqatan) hojayega.
(ABU DAWOOD)
Ye Hadees har aetebar se tashabboh(kisi ke sath similarity karna) ka ek aam o taam Qanoon hai.
Hadees sabit karti hai keh Zahiri tashabboh jis Qaum ke sath bhi kiya jaye abrar o akhyar ke sath kiya jaye ya ashrar o Fujjar ke sath, Khair ho ya Shar me, Mashare me ho ya Tehzeeb o Tamaddun me , anjaam ye hai keh Mutashabbeh(yani similarity ikhtyar karne wala) apna Wajood chord kar usi QAUM ke Wajood me Mudgham hojata hai jis ke sath usme tashabboh kiya tha.
Ab ayye Hum me se har koi apna ,apne ghar ka aur apne ird gird Mahol ka jayeza len Hum me kaun c tehzeeb payi jarahi hai.islami ya ghair Islami?
Hamara Subah o Sham,Hamara uthna, baithna hamara liabs waghaira sab kis tareekhe par hai.
Hadees se to wazeh hogaya ke hum jis ki similarity ikhtyar karenge Hamara Hashar unhi ke sath hoga.
In ayyam me aksar Muslim bhai bahenen Christmas aur New Year celebrate kar rahe hain halanke Ye dono Khalis Isai(christians) ke Tehwaar(Festival ) hai.
Hadees ko ek bar Ghaur se padh kar hum apne amaal ka jayeza len.
Yaad rakhen Islam ek Kamil deen hai aur Islami Tehzeeb ek Mukammal Tehzeeb hai. Apni Mukammal Tehzeeb ko chord kar Naqis Tehzeeb ikhtyar na karen.
Nabi sallallahu alaihi wasallam ki, Sahaba ki, Aulia Allah ki, Nek Logo ki mushabahat ikhtyar karen.
Musalman ho to Musalman dikhen,
Islam Mazhab hai hamara hum Musalman hai to dikhe bhi Musalman na ke Naam ke Musalman rahen aur tehzeeb Yahood o Nasara ki ho.
Khudara Islami Tehzeeb apnaye aur Batil ko shikast den batil to chahta hai ke ham se hamari Tehzeeb cheen le.
Hum Bataden hum bhi Musalman hai aur Hame Islami Tehzeeb pasand hai.
Allah Ta’ala hum sab ko Islami Tehzeeb apnane ki taufeeq ata farmaye.
Aameen.
FBS

Muttahid hojayen warna Hamari Hawaa nikal jayegi

Muttahid hojayen warna Hamari Hawaa nikal jayegi

Quran Surah Anfaal ayat 46
اور حکم مانو اللہ کا اور اسکے رسول کا اور آپس میں نہ جھگڑو پس نامرد ہو جاؤ گے اور جاتی رہے گی تمہاری ہوا اور صبر کرو بیشک اللہ ساتھ ہے صبر والوں کے
Aur hukum Maano Allah ka aur uske Rasool ka aur Aapas me na jhagdo pas namuraad hojaoge aur tumhari hawa jaati rahegi aur Sabr karo beshak Allah sath hai sabr karne walon ke
Obey Allah and His Messenger, and do not quarrel with each other, lest you should lose courage, and your prowess should evaporate; and be patient. Surely, Allah is with the patient.

KYA SHARE KAREN KYA NAHI KAREN

KYA SHARE KAREN KYA NAHI KAREN

Allah Ta’ala Ka Irshad hai ke Aapas me madad karo Nek kaamo par aur Taqwa o parhezgaari ke kaamo par aur madad na karo Gunah aur Zulm par aur darte raho Allah se beshak Allah ka azaab sakht hai.
(Surah Maaida Ayat no 2)
English:
Help each other in righteousness and piety, and do not help each other in sin and aggression. Fear Allah. Surely, Allah is severe at punishment.
Urdu:
اور آپس میں مدد کرو نیک کام پر اور پرہیزگاری پر اور مدد نہ کرو گناہ پر اور ظلم پر  اور ڈرتے رہو اللہ سے بیشک اللہ کا عذاب سخت ہے
.
Is aayat se ye baat sabit hoti hai ke Bhalai ke kaamo me ek doosre ki madad karna chahye ye Allah paak ka hukm hai aur Burai ke Kaamo aur Zulm ke kaamo me ek doosre ki madad na karen.
Aayye Is Aayat se hum thode hamare Facebook/Whatsapp ke aamaal ka jaayeza len.
Actor/Actress aur doosre Na Mehram ke photos lagana aur share karna aur like karna ye BURAI ke kaam karne aur usme madad karne me shamil hogaya. jisse Allah paak ne mana farmaya hai.
Deeni Ahkaam, Quran o Hadees ko Like karna,share karna aur lagana ye Bhalai o parhezgaari ke kaamo me shamil hai to iska hukm Allah paak ne diya hai to ye karna chahye.
Deeni baaton ko aam karne me ek baat ka khayal rakha jaye ke jo baat like/share/post kar rahe ho pehle uski ache se tehqeeq karlen ke kya ye hadees hai bhi ya nahi???
kya ye Quran e kareem ki aayat hai bhi ya nahi???
kya mai ye jo baat aage pohancha raha hun wo Shariyat ki baat hai ya kisi ne apni taraf se bana kar mansoob kardi hai.
kyu ke Quran me Allah paak ka ye hukm bhi maujood hai
“Aye Iman Walo ! Agar koi FASIQ tumhare pass koi Khabar lekar aye to Khoob Tehqeeq kar lya karo, aisa na ho ke kisi Qaum ko nadani se Nuqsan pohanchado, phir tumko apne kiye par Sharminda hona pade.”(49:6)
isi tarah Hadees ki taqreeban tamam kitabon me ye Hadees bhi maujood hai.
“JO JAAN BOOJH KAR MERI TARAF JHOOTI BAAT KI NISBAT KARE WO APNA THIKANA JAHANNAM ME BANALE.”
to deeni baat phailane me ahtyat karni chahye ke ye baat Saheeh ho na ke ghalat ho.
iska ye matlab hargiz nahi ke islahi baaton ko karna hi rok den.