DEEN AASAAN HAI
DALAIL KE ISLAAM AASAAN DEEN HAI
KYA ALLAH TA’ALA KE YE FARAMEEN DALALAT NAHI KARTE KE DEEN AASAAN HAI:
- ALLAH TA’ALA farmate hain
وَمَا جَعَلَ عَلَيْكُمْ فِي الدِّينِ مِنْ حَرَجٍ
Aur tum par Deen ke mamle me koi tangi nahi rakhi
[Surah Haj 78]
يُرِيدُ اللَّهُ بِكُمُ الْيُسْرَ وَلَا يُرِيدُ بِكُمُ الْعُسْرَ
Allah tumhare sath aasani ka mamla karna chahte hai aur tumhare liye Mushkil paida karna nahi chata.
[surah Baqara 185]
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا
Allah kisi bhi shakhs ko uski wus’at se ziada zimmadari nahi sompta
[surah Baqara 286]
و قَالَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
“إِنَّ الدِّينَ يُسْرٌ”
Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
“Beshak Deen Aasaan hai”
[Saheeh Bukhari, Kitabul Iman, Baab Deen aasaan hai]
Islaam ke asaan hone par misalen:
1. Baith kar Namaz padhna us shakhs ke liye jisko khade hone me takleef ho
قَالَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
”صَلِّ قَائِمًا فَإِنْ لَمْ تَسْتَطِعْ فَقَاعِدًا فَإِنْ لَمْ تَسْتَطِعْ فَعَلَى جَنْبٍ“
“khade hokar namaz padho agar tum isteta’t na rakhte ho to baith kar padho to agar tum iski bhi isteta’t na rakhte ho to lait kar padho.”
[SAHEEH BUKHARI, KITABUL JUMA]
- 2. 4 Rakaat wali namaz me Qasr karna aur Jama bainas salaatain karna Musafir ke liye
القرآن:
وَإِذَا ضَرَبْتُمْ فِي الْأَرْضِ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَقْصُرُوا مِنَ الصَّلَاةِ
“aur jab tum Zameen me safar karo aur tumhe is baat ka khauf ho ke Kaafir log tumhe pareshan karenge to tum par is baat ka koi Gunah nahi hai ke tum Namaz me Qasr karlo.
[Surah Nisaa ayat 101]
Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Safar me Zohar aur Asar ki Namaz ek sath padhte the isi tarah Maghrib aur Isha ki bhi ek sath padhte the.
[Saheeh Bukhari, Kitab AL Jumaa Hadis No: 1038]
No comments:
Post a Comment