Aashoore ka
Roza:
Muharram
ki 10 aur 9 tareekh ko Roza Sunnat hai
Allah ke Rasool sallallahu alaihi
wasallam ne irshad farmaya:
1. “Arfa (9 Zil haj) ke Roze ke
mutalliq mujhe Allah se umeed hai ke ek Saal Guzashta aur ek Saal Aainda (ke
gunahon) ka kaffara hojayega, aur Aashoore(10 Muharram) ke Roze me Allah se
Umeed hai ke Guzashta Ek saal ka Kaffara hojayega.”
(Saheeh Muslim)
2. Aashoore ka Ra Roza ek Saal ke
Gunahon ka Kaffara hai.(Saheeh Ibn e Hibban)
3. Agar Mai Aayenda Saal tak Zinda raha
to Zaroor 9 Muharram ko Roza Rakhunga.(Saheeh Muslim)
4. Agar Mai Aayenda Saal tak raha to
zaroor Aashoore se ek din pehle ya ek din baad roze ka hukum doonga.(Baihaqi)
9 Muharram ka Roza Bataure ahtiyat
aur Yahood ki Mukhalifa ki wajeh se hai. Isi liye 9 Muharram ko kisi ne Roza na
rakha to 11 Muharram ko rakhte. Balke “AL UMM” waghaira me hai ke 9, 10 aur 11
3 Roze Mustahab hai. Imam Ghazali rahmatullahi alaih ne 1 Muharram se 8
Muharram tak ke rozon ko Sunnat qarar diya hai. (Nihayatul Muhtaj)
Aashoore ki Bid’aat:
Aashoore
ke din ki Mashhoor washaye Namaz, Kharch
Karna, Khizaab, tel lagana , Surma lagana aur Makhsoos Pakwan waghaira Mauzoo
aur iftera hai is din Surme ka Ahtemam karna Bid’at hai jise Qaatileen e Hazrat
Hussain Razi Allahu anhu ne ghada hai. Aashoore ke din apne Ahel o Ayaal par
kharch me tausee (kushadgi) karna Sunnat hai. Take Saal bhar ise Kushadgi ata
farmaye, jaisa ke Hadees e Hasan me hai, bhot se Muhaddiseen ne use aazmaya to
Mujarrab paaya. Imam Munawi farmate hain ke Ahel O Ayaal par Kushadgi ki Hadees
Agarche ke Zaeef hai, lekin mUkhtalif Sanadon se warid hai isliye Majmooi taur
par Quwwat haasil hoti hai, Baaz Sanadon ko Zain Iraqi aur Ibne Nasir Uddin ne
Saheeh qarar diya hai.
(Tohfatul Baari 1/365)
No comments:
Post a Comment