Aqeeda Khatm e Nabuwwat Hadees No 2
عَنْ أَبِيهِ، أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: «أَنَا مُحَمَّدٌ، وَأَنَا أَحْمَدُ، وَأَنَا الْمَاحِي، الَّذِي يُمْحَى بِيَ الْكُفْرُ، وَأَنَا الْحَاشِرُ الَّذِي يُحْشَرُ النَّاسُ عَلَى عَقِبِي، وَأَنَا الْعَاقِبُ وَالْعَاقِبُ الَّذِي لَيْسَ بَعْدَهُ نَبِيٌّ»
Hazrat Jubair Bin Mut’im Razi Allahu anhu apne walid se Riwayat karte hain kehte hain ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
“Mere chand Naam hain:
Mai MUHAMMAD hun, Mai AHMAD hun, Mai MAAHI (Mitane wala) hun ke mere Zarye Allah Ta’ala Kufr ko Mitayenge, Mai HAASHIR (Jama karne wala) hun ke Log mere Qadmon par uthaye jayenge aur Mai AAQIB (Sab Nabiyon ke baad aane wala) hun ke Mere Baad koi Nabi nahi.”
(Saheeh Muslim, Kitabul Fazael, Baab Fii Asmaaih s.a.w, Hadees No 2354)
No comments:
Post a Comment