JAAHILIYAT KA ZAMANA AUR AJ KA
Zamanae Jahiliyat me jaise hi kisi ko uske Ghar me BACHI ki paidaish ki Khabar di jaati uska Chehra GHUSSE se Mutaghayyar hojata aur ye TAKLEEF dah KHABAR sunkar wo SHARMINDGI ke MAare uske Chehre par Tareeki chah jati, ye Khabar is Qadar buri lagti ke wo logon ka Samna karne se Sharmata aur usey yaqeen hojata ke usey 2 Kaamo me se Ek kaam karna hi hoga ya to BACHI ko Zindah Rakh kar MASHREY me ZILLAT o RUSWAAI ki Takleef bardasht karta ya phir us bachi ko ZINDA dar gor karke SHARMINDGi ke daagh ko dho dale,
Allah ta’al ne Quran paak me kuch is tarah uska Naqsha kheencha:
“Aur Jab unme se kisi ko BETI paida hone ki KHABAR milti hai to uska MUH GHAM ke sabab Kaala apd jata hai aur eo Andar hi Andar Ghutne lagta hai, aur is Khabar e Bad ke sabab Jo wo Sunta hai Logo se Chupta phirta hai sochta hai ke Ye Zillat BARDASHT kar ke LADKI ko ZINDA rehna de ya ZAMEEN me Gaard de, Dekho ye Jo Tajweez karte hain Bhot BURI hai.”
[SURAH AL NAHAL ayat 58,59]
Ghaur karen Aj ABORTION ke taur par Musalmaan bhi yahi kaam kar rahe yaad rakhen ALLAH TA”ALA hi Rizq dene wala hai
“ Aur Naddari (ke andeshe) se apni AULAAD ko Qatal na karna kyu ke Tumko aur un ko HUM Rizq dete hain”
[Surah Al An’aam ayat 151]
Aur Yaad rakhen jo Is Jurm ka irtekaab karega ALLAH use Qayamat ke Roz Hum kalaam na honge balke Allah Subhanahu Ta’ala un be Gunaah Bachon se Hum kalaam honge aur unse poochenge ke Unhe kis Gunaah ke Sabab Qatl kiya gaya. Zulm o Ziyadti karne wale apne JURM ki poori poori Saza bhuktenge.
Quran Majeed Surah Takweer Ayat 9, 10 me hai
“Aur Jab us Ladki se jo Zinda DAFNA di gayi ho poocha jayega ke Wo kis Gunah par maar di gayi.”
Akhir me Ek Waqia padhlen jis se pata chal jayega ke ye Amal kitna Na pasandeeda hai
“Ek dafa ek Sahabi Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam ki Khidmat me Haazir hue aur Ap sallallahu alaihi wasallam ke samne Zamanae Jaahiliyat ki is Wehshiyana Rasm ka Tazkira karte hue kaha:
“Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam Hum Zamanae Jaahiliyat me BUTON ki pooja kiya karte the aur apni aulaad ko Zinda dar gor kiya karte the. Meri Ek beti thi jab wo kuch badi hui, baaten samajhne lagi , mere Aagey peeche chalne lagi aur mere Bulane par Khushi se Daudi chali aati to Ek din maine use bulaya aur wo mere peeche chal padi. Jab Mai ghar se Qareeb hi ek Kunwe ke paas pohancha to maine usey HATH SE PAKAD KAR KUNWEY ME PHENK DIYA uski Zaban par Akhri Kalimaat “MERE PYARE ABBA JAAN! MERE PYARE ABBA JAAN!” the.
Ye Waqia sunkar Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam is Qadar ROOYE KE AP sallallahu alaihi wasallam KI ANKHON SE AANSU TAPAKNE LAGEY. Hazireen e Majlis me se ek Aadmi ne Qissa bayan karne wale se kaha : “Tumne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko GHAMGEEN kardiya!” is par Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmya :
“Ise malamat mat karo kyu ke Wo apne liye pareshani ki Baais Cheez ke baare me poochna chah raha hai.”
Aur phir Ap sallallahu alaihi wasallam ne use farmaya: “ Apni Baat phir se kaho”
Chunanche unho ne Dubara Qissa bayan kiya Jis Par Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Dubara is Qadar ROYE KE APKE AANSOO APKI DADHI MUBARAK PAR TAPAKNE LAGEY, phir Ap sallallahu alaihi wasallam us shaqs ki taraf Mutawaajh hue aur Irshaad farmaya :
“ALLAH Ta’ala ne ZAMANAE Jaahiliyat ke Tamam Amaal ko Maaf kar diya hai islye tum naye sire se Amaal karo.”
[Sunan Daarimi muqadma hadis no 2]
Aye Musalmano apni Betiyo ko Khatm na karo , socho Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ko Kitni Takleef hoti hai is amal se, Hamare Nabi sallallahu alaihi wasallam to LADKIYO wale hum Ladkiyo se kis lye Nafrat karen, us Sahabi ke Waqie ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko Kitna Rulaya, ISLAM ne AURAT ko IZZAT di hai tum JAAHILIYAT ka AMAL na karna Qayamat ke Din Ladkiyo aur Un aulaad se poocha jayega jisko tumne Abortion etc se Qatl kiya K TUM KIS JURM KI SAZA ME QATL KI GAYI HO.
Allah Hame SHARIAT par Kaamil Amal karne Wala banade aur Allah par Kaamil bharosa Inayat farmaya.
Ameen.
FBS
No comments:
Post a Comment