Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 17
Aayat
No17:
وَالَّذِينَ جَاءُوا مِنْ بَعْدِهِمْ يَقُولُونَ رَبَّنَا اغْفِرْ
لَنَا وَلِإِخْوَانِنَا الَّذِينَ سَبَقُونَا بِالْإِيمَانِ وَلَا تَجْعَلْ فِي
قُلُوبِنَا غِلًّا لِلَّذِينَ آمَنُوا رَبَّنَا إِنَّكَ رَءُوفٌ رَحِيمٌ
“Aur jo log Un ke baad Aaye kehte hain ke Aye
Hamare Rab Bakhsh dijiye Ap hum ko aur Hamare Bhaiyon ko jo (Imaan me) hum se
sabaqqat kar gaye aur mat banaye hamare Dilon me Momineen ke liye koi Khot aye
Rab tu bada Shafaqqat karne wala Maherbaan hai.
(Surah
Hashr: 10)
Ulama
ne likha hai ke ye aayat is baat ko mutazammin hai ke Sahaba-e-Kiram Razi
Allahu anhum se Muhabbat karna wajib hai aur unke baare me kalimaat e Khair
kehna Imaan ka Iqteza hai, Musalmano ke maal-e-fai o Ghanimat me isi ka hissa
hai jo Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum se Muhabbat karne wala aur un ke baare
me Kalimaat-e-Khair kehne wala ho jo un ke baare me bad Aeteqad ho aur un se
Bughz rakhe aur us ko Musalman ke maal e Ghaneemat se Hissa nahi milega, goya
Amalan us ko Musalmano ki jamat me se Shumaar nahi kiya jayega.
Is Aayat ke tahet Tafseer e Qurtubi me hai:
هَذِهِ الْآيَةُ دَلِيلٌ عَلَى وُجُوبِ مَحَبَّةِ الصَّحَابَةِ،
لِأَنَّهُ جَعَلَ لِمَنْ بَعْدَهُمْ حَظًّا فِي الْفَيْءِ مَا أَقَامُوا عَلَى
مَحَبَّتِهِمْ وَمُوَالَاتِهِمْ وَالِاسْتِغْفَارِ لَهُمْ، وَأَنَّ مَنْ سَبَّهُمْ
أَوْ وَاحِدًا مِنْهُمْ أَوِ اعْتَقَدَ فِيهِ شَرًّا أَنَّهُ لَا حَقَّ لَهُ فِي
الْفَيْءِ، رُوِيَ ذَلِكَ عَنْ مَالِكٍ وَغَيْرِهِ. قَالَ مَالِكٌ: مَنْ كَانَ
يُبْغِضُ أَحَدًا مِنْ أَصْحَابِ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ،
أَوْ كَانَ فِي قَلْبِهِ عَلَيْهِمْ غِلٌّ، فليس له حق في في المسلمين
“Ye Aayat daleel hai ke Sahaba-e-Kiram razi
Allahu anhum se Muhabbat karna wajib hai is liye ke Allah ne baad walon ke liye
Maal-e-Ghaneemat me usi waqt Hissa muqarrar kiya hai jab tak ke wo Sahaba-e-kiram razi Allahu anhum se
Muhabbat karte rahen un se ta’luq e khatir ka Izhaar karen aur un ke liye
Dua-e-Maghfirat karte rahen aur jis ne un ko ya un me se kisi ko Bura-Bhala
kaha ya un ke baare me Bura-Aeteqad rakha us ka Maal-e-Ghaneemat me koi Haq
nahi hai.
Aur ye baat Imam Malik waghaira se Manqool
hai Hazrat Imam Malik rahmatullahi alaih ne farmaya Jo Muhammad sallallahu alaihi
wasallam ke Ashaab me se kisi se Bughz rakhe ya us ke dil me un ki janib koi
Khot ho to us ka maal-e-ghaneemat me koi Haq nahi hai.
(Tafseer-e-Qurtubi
Surah Hashr Aayat 10)
Aur
Imam Raazi rah farmate hain:
وَبَيَّنَ أَنَّ مِنْ شَأْنِ مَنْ جَاءَ مِنْ بَعْدِ الْمُهَاجِرِينَ
وَالْأَنْصَارِ أَنْ يَذْكُرَ السَّابِقِينَ وَهُمُ الْمُهَاجِرُونَ
وَالْأَنْصَارُ بِالدُّعَاءِ وَالرَّحْمَةِ فَمَنْ لَمْ يَكُنْ كَذَلِكَ بَلْ
ذَكَرَهُمْ بِسُوءٍ كَانَ خَارِجًا مِنْ جُمْلَةِ أَقْسَامِ المؤمنين بحسب نص هذه
الآية.
“Allah
ta’ala ne batla diya ke Muhajireen o Ansaar se baad me aane walon ka ye wazeefa
hai ke wo Sabiqeen yani Muhajireen o Ansaar ko Dua-e-Rahmat ke sath yaad karen
aur jo aisa nahi hai aur us ne un ka zikr burai se kiya to wo Is Aayat ki Ruu
se Ahl-e-Imaan ki har qism se Kharij hogaya.
(Tafseer-e-Kabeer
Surah Hashr Aayat 10)
Ek taraf Quran ka ye irshad aur
Ulama-e-Ummat ke ye bayanaat hain aur doosri taraf Maulana Maudoodi marhoom ki
wo nigarishaat hain jin me Sahaba-e-Kiraam razi Allahu anhum ki Zawaat-eQudsiya
ko Majrooh aur naqaabil e Aetebaar banane ki Koshish e narawaa ki gayi hai.
Maulana Maudoodi ki nigarishaat ka kuch
hissa Ap is Blog me mulaheza farmayenge, use Mulaheza farmaye aur Dekhiye ke
Maulana Maudoodi ka qalm Sahaba-e-Kiraam razi Allahu anhum ke baare me kis
darjeh Ghair Muhtaat aur un ki is qism ki tehreeren kahan tak Qalb o Nazar me
samaye jane ke qaabil hain.
Hame Maulana ki Zaat se koi Purkhaash
nahi hum un ki baaz Salahiyaton ke qadardaan hain magar Sahaba-e-Kiraam razi
Allahu anhum ki zaat Maulana Maudoodi se kahiin Buland hai. Sahaba-e-Kiram razi
Allahu anhum ke baare me kisi ki Jurrat e beja aur kisi bhi Insan ka namunasib
rawayya bardasht nahi kiya jasakta.
FBS