Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 7
Ayat
No 7:
يَاأَيُّهَا النَّبِيُّ حَسْبُكَ اللَّهُ وَمَنِ اتَّبَعَكَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ
Aye
Nabi Ap ko Allah kaafi hai aur wo log Kaafi hain jinho ne Ap ki Itteba ki yani
Momineen.
(Surah
Anfal : Ayat 64 )
Is
aayat e Kareema se Sahaba Kiram razi Allahu anhum ke muqaam e buland ka pata chalta
hai. Allah Ta’ala ne un Ka Zikr Apne Zikr ke sath kiya aur apne sath Sahaba
Kiraam razi Allahu anhum ki Maujoodgi ko Rasool Sallallahu alaihi wasallam ki
tayeed o Nusrat(madad) aur Ap ki Himayat o Kifayat ke liye Kaafi qarar diya. Andaza
lagayye keh Sahaba Kiraam razi Allahu anhum ka Allah Ta’ala ke yahan Kitna
buland martaba hai.
No comments:
Post a Comment