Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 4 & 5
Aayat 4:
“Ap keh dijye ke tum amal kiye jao phir aage dekhega Allah tumhare Amal ko aur Rasool aur Momineen ko.
(Surah Taubah: 105 )
Is aayat se maloom hua ke jis tarah Allah aur Uske Rasool Insano ke Aamal ke liye kasoti aur Mi’yaar hain usi tarah Sahaba e Kiram razi Allahu anhum bhi Kasoti aur Mi’yar hain aur Allah Ta’ala aur Rasool sallallahu alaihi wasallam ke baad Sahaba Kiram Razi Allahu anhum ka hi bada darjah hai.
Ayat 5:
Allah ne Momin Mard aur Momin Aurton se jannaton ka wada kar rakha hai ye wo baghaat hain jin ke neeche Nehren behti hongi wo hamesha us me rahenge aur Allah ne un se rehna ke baaghaat me ache thikano ka bhi wada kiya hai aur Allah ki razamandi (jo unhe haasil hogi) wo un sab se badi cheez hai aur wahi badi kamiyabi hai.
(Surah Taubah: 72)
Ye aayat us zamane ke munafiqeen o munafiqaat ke muqable me Momineen o Mominaat ke liye naazil hui hia. Is aayat me saare hi Sahaba aur Sahabiyaat Razi Allahu anhum ke liye Jannat me Hamesha rehne ki basharat hai aur Allah ne un sab ko Apni Razamandi ka parwana diya hai.
No comments:
Post a Comment