Sunday, 16 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 10

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 11

Aayat No 11:
وَعَدَ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا مِنْكُمْ وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَيَسْتَخْلِفَنَّهُمْ فِي الْأَرْضِ الخ
Allah Ne Tum Me Se Un Logon Se Jo Imaan Laaye Aur Ache Amal Kiye Wada Kiya Hai Ke Wo Unhe Zaroor Zameen Me Apna Khaleefa Banayega…”
(Surah Noor: 55)
Ye Aayat Khulafa E Arba Ki Khilafat Ke Baare Me Nas-E-Qata’i Hai Aur Isi Se Ye Bhi Pata Chalta Hai Ke Khulafa E Arba’ Sab Ke Sab Khudawand-E-Khuddoos Ke Yahan Khilafat Ke Mi’yaar-E-A’laa Par The.
Maulana Shabbir Ahmad Sahab Usmani Rah Is Aayat Ke Tahet Likhte Hain:
       “ Ye Khitab Farmaya Hazrat Ke Waqt Ke Logon Ko Yani Jo Un Me A’laa Darjeh Ke Nek Aur Rasool Sallallahu Alaihi  Wasallam Ke Kaamil Muttabi’een Hain. Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Baad Un Ko Zameen Ki Hi Hukumat Dega Aur Jo Deen E Islam Khuda Ko Pasand Hai Un Ke Hathon Se Use Dunya Me Qaa’im Karega. Goya Jaisa Ke Lafz “Istikhlaaf” Me Ishara Hai Wo Log Mahez Dunyawi Baadshahon Ki Tarah Na Honge Balke Paighambar Ke Janasheen Hokar Aasmani Badshahat Ka Aelan Karenge Aur Deen E Haq Ki Bunyad Jamayenge…………….. Alhamdulillah Ye Wada E Ilahi Charon Khulafa E Rashideen Razi Allahu Anhum Ke Hathon Poora Hua Aur Dunya Ne Is Azeem-Ush-Shaan Peshan Goi Ke Ek Ek Harf Ka Misdaaq Apni Aankhon Se Dekh Liya.”
Phir Likhte Hain :
“Is Aayat “Istikhlaaf” Se Khulafa-E-Arba Ki Badi Bhaari Fazeelat O Manqibat Nikalti Hai.”
       Is Aayat Ko Pesh E Nazar Rakhiye Aur Maulana Maudoodi Ne Hazrat Usman Razi Allahu Anhu Ke Baare Me Jo Kuch Kaha Aur Likha Hai Use Bhi Ap Dekh Len Ke Jin Khulafa Ke Baare Me Quran Me Ye Azeem Peshan Goi Aur Basharat Hai Unheen Ke Ek Fard Hazrat Usman Razi Allahu Anhu Ke Baare Me Maulana Maudoodi Ka Kya Mauquf Hai?

No comments:

Post a Comment