Aayat e Quraaniya pesh karne se pehle , ek baat jaan len ke Quran me jahan Momineen Mutaqaddameen, Aulia Allah waghaira ka Lafz istemal kiya hai ya jahan Fauz o Falah ki kisi amal par basharat sunai hai ya jahan Usne Madah o Sanaa aur In’aam o Basharat ke mauqe par jamaa Mukhatab ka Segha ya zameer Istemal ki hai us ke awwal misdaaq Sahaba e Kiram Rizwanullahi Ta’ala Ajmaeen hai , ye baat itni yaqeeni hai ke jis ka inkar nahi kiya jasakta aur na jis par daleel pesh karne ki hajat hai aur iski wajeh bilkul zaahir hai ke wahi pehle Mukhatab hain is liye un Khitabaat aur un bashaaraton ke pehle mustahiq bhi wahi hain. Ab Quran ki wo Aayaat mulaheza farmayen jin se Sahaba Kiraam razi Allahu anhum ki Qadr o Shaan ka pata chalta hai.
Ayat 1:
Tum me se wo log Barabar nahi hain jinho ne Fateh Makkah se pehle Kharch kiya aur Qitaal kiya, un ka darjah Allah ke yahan Ziada Azeem hai aur har ek se Allah ne Husn yani Jannat ka Wada kar rakha hai, aur Allah Ta’ala ne Ziada kiya hai Mujahideen ko baithe rehna walon se Ajr e Azeem me.
(4:95)
Maloom hua ke Agarche Fateh Makkah se Qabl jo log Imaan lachuke the aur jinho ne Deen ke liye Jaan O Maal Qurbaan kiya tha wo Fateh Makkah ke baad Islam Qubool karne walon se afzal aur A’laa hain, magar Allah Ta’ala ne baghair kisi takhsees Jannat ka Wada Saare Sahaba razi Allahu anhum se kiya hai chahe wo Fateh Makkah se pehle ke hon ya baad ke.
Saahib e Tafseer e Mazahiri is aayat ke tahet likhte hain
“Ye Aayat is baab me bilkul sareeh hai ke Saare SAhaba pehle ke hon ya baad ke sab se Allah ne Husnaa yani Jannat ka wada kiya hai”
(Tafseer e Mazhari)
No comments:
Post a Comment