Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 14 & 15
Aayat
No 14:
لِلَّذِينَ أَحْسَنُوا الْحُسْنَى
وَزِيَادَةٌ وَلَا يَرْهَقُ وُجُوهَهُمْ قَتَرٌ وَلَا ذِلَّةٌ أُولَئِكَ أَصْحَابُ
الْجَنَّةِ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ
“Jin
logon ne Nek Amal kiya un ke liye Jannat aur us se Zaida ek aur cheez hai (yani
Allah ki Raza aur Uska ka Deedar) un ke chehron ko siyahi na Gheregi aur na Zillat,
wo Log Jannat wale hain aur wo usme Hamesha rahenge.
(Surah
Yunus: 26)
Aayat
No 15:
التَّائِبُونَ الْعَابِدُونَ
الْحَامِدُونَ السَّائِحُونَ الرَّاكِعُونَ السَّاجِدُونَ الْآمِرُونَ
بِالْمَعْرُوفِ وَالنَّاهُونَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَالْحَافِظُونَ لِحُدُودِ اللَّهِ وَبَشِّرِ الْمُؤْمِنِينَ
“Taubah
karne wale hain, Bandagi karne wale hain , Hamd o Shukr karne wale hain, Jihad
karne wale hain, Rukoo’ aur Sajdah karne wale hain, Allah ke Hudood ki Hifazat
karne wale hain…….”
(Surah
Taubah: 112)
Ye
Aayat e Kareema Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ki Zindagi ka naqshah pesh
karti hai , isse Unki Chand Sifaton ka pata chala.
ð Taubah,
ð Hamd,
ð Shukr,
ð Jihad,
ð Salaat aur
ð Allah ki
Hadon ki Hifazat.
#At-Taaiboon
ki Tafseer me Tafseer –e-Qurtubi me hai:
“At-Taaiboon
se muraad wo log hain jo Mazmoom Haalat se jo Allah ki nafarmani ke silsile ki
ho se laut kar Umdah Sifaat ki taraf jis ka Ta’luq Allah ki Ita’at se hota hai
aane wale hain.
(Tafseer-E-Qurtubi)
" التَّائِبُونَ هُمُ الرَّاجِعُونَ عَنِ الْحَالَةِ
الْمَذْمُومَةِ فِي مَعْصِيَةِ اللَّهِ إِلَى الْحَالَةِ الْمَحْمُودَةِ فِي
طَاعَةِ اللَّهِ
*At-Taaiboon
ki is tafseer se Maloom hua ke Sahaba-e-Kiraam Razi Allahu anhum me Imaan o
Islaam ke baad Sifaat-e-Mazmooma baaqi nahi reh gayi thiin aur un ke Nufoos har
Gandi haalat aur Sifat se paak the, neez is aayat se Maloom hua ke
Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ki Zindagi ka maqsad Allah Ta’ala ke Hudood ko
tordna nahi balke uski Hifazat tha aur isi par unki Zindagi guzri thi.
No comments:
Post a Comment