Wednesday, 12 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 8

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 9

Aayat No 9:
لَقَدْ رَضِيَ اللَّهُ عَنِ الْمُؤْمِنِينَ إِذْ يُبَايِعُونَكَ تَحْتَ الشَّجَرَةِ فَعَلِمَ مَا فِي 
قُلُوبِهِمْ فَأَنْزَلَ السَّكِينَةَ عَلَيْهِمْ وَأَثَابَهُمْ فَتْحًا قَرِيبًا

Yaqeenan Allah Razi hua Imaan walon se jab wo (Aye Nabi) Aap se darakht ke neeche Bai’t kar rahe the aur jaan liya jo unke dil me tha phir Allah ne un ke oopar Itminan utara aur unko qareebi fateh ka in’aam diya.(Surah Al-Fatah Aayat 18)
       Is Aayat se Maloom hua ke Bai’t e Rizwaan me Shareek Saare Sahaba Razi Allahu anhum se Allah Ta’ala raazi raha jis ke baare me khud Allah Ta’ala farmaden ke Allah un se raazi hai, andaaza lagayye ke Allah ke yahan us ka kya darja hoga. Wo jamaat apne Zaahir o Baatin ke aetebaar se kitni paakeeza jamaat hogi,  wo Imaan o Islaam aur Akhlaaq o Kirdaar se kis Miyaar ki hogi. Us jamaat ke baare me Ta’n o Tashnee’ aur Zaban o Qalam ki be ehtiyati kitni jasarat ki baat hai.
Note: Al Saarim Al-Maslool me Ibne Taimia Qazi Abu Ya’la se naqal karte hain . unho ne farmaya RAZA Allah ki ek sifate Qadeemah hai wo apni RAZA ka Aelaan sirf unhi ke liye farmate hain jin ke muta’liq wo jaante hain ke in ki wafaat mojibaat e raza par hogi.(Mariful Quran 8/106)

No comments:

Post a Comment