Sunday, 2 November 2014

TAREEKHE ISLAM==> I

TAREEKHE ISLAM==> I
>FITNAE MOTAZALA<
Jab Hum Islam ki tareekh par ek Sarsari Nazar daalen to hame pata chalta hai k Hamare ASLAAF ne Deen e Islam ke lye kitni Qurbaniya di hai.
TADWEENE HADEES OR TADWEENE FIQH ke Azeemush shaan karnamo ke Ilawa jab kabhi Islam par BAATIL FIRQO ka Hamla hua tab hi ALLAH ne Apne Baaz bando ko tayyar kiya jo in Hamlo ka Jawab den aur HAQ ko buland kare.
Islam ki doosri sadi hijri me FITNAE MO'TAZALA apne Urooj par tha, aur Woh itne Urooj par tha ke Hukumat ka Mazhab o Nazarya bhi wahi hogaya tha.
Motazala khud ko us daur me RAUSHAN KHAYAL samajhte the aur DEEN KI BAATO ko apni NAQIS AQAL par Toolte the.
Chunanche is Fitne se ladne ke lye Bhot se ALLAH KE BANDE Uthe jinme
IMAM E AHLE SUNNAT AHMED BIN HAMBAL rahmatullahi alaih Akhir Umar tak Pahad ki tarah datey rahe aur Hukumat ke Maslak ka pur Zor rad kya iske lye Apne Badi Takleefen Bardasht ki.
Ap ka inteqal 241 hijri me hua to saara shahar umad aya .
Namaze Janaza padhne Walo ki tadad 840000 thi.
==>Imam Ahmed Rah ke baad is FITNAE AQALYA ki Jaden Ukhadne ke lye Allah Ta'ala ne ek Marde Mujahid ko paida farmaya jin ka Naam ABUL HASAN AL ASH'ARI tha ye 260 hijri me paida hue. Jinho ne MOTAZALA ki eent se Eent baja di aur Unke Aqli baato ka aisa jawab dya ke Motazal baghlen jhankte rehgaye.
Aur Maslake Ahle Sunnat ki bhar poor himayat ki aur Aetezal ke Qile ko jad se ukhad dya.
Inki Wafaat 324 hijri me hui.
Abul Hasan Ashari Ilme kalam ke Faqeeh the.
==> usi Zamane me ILME KALAAM or AQAAIDE ISLAM KE ALIM aur MOTAZALA ke MUQABLE ke lye IMAM ABU MANSOOR MAATRUDI HANAFI paida hue jinhone MOTAZALA ka radd kiya
>FITNAE BAATINYA<
==> Ab islam par aur ek Baatil Firqe ka hamla hua aur Wo Aetezal se aur Ziada Sakht tha aur Wo FITNA BAATINIYAT ka tha jis k Rad ke lye Ek Naye Mutakallim ki Zaroorat thi.
Is Fitne ki Sarkobi ke lye aur Aalame Islam me aur Ilmi dunya me Apne ILM O YAQEEN or Fikr o Nazr se ek Nayi Rooh phoonkne ke lye ek shaqsyat ki zaroorat thi aur Woh IMAM GHAZALI SHAFAI rahmatullahi alaih the.
Imam Ghazali Rahmatullahi alaih 450 hijri me paida hue aur Apne FITNE BAATINYA aur FALSAFE ka is tarah Rad kiya ke Woh phir Sar utha nahi sake aur Zaleel o Ruswa hue.
Apne uske sath sath Zindagi o Maashirat ka Islami o Akhlaqi jayeza lya aur Uski Islah bhi ki.
Is mamle me Apki ek Mashoor o Maroof kitab IHYAAE ULOOME DEEN hai jiski tareekhe islam me koi Nazeer nahi milti.
Apka Inteqal 505 hijri me hua.
Isi Daur me Allah Ta'ala ne Deen ki Dawat or Musalmano me az Sar Nau IMANI HARKAT O HARARAT or Tauba ki kaifyat paida karne k lye 2 Hastyo ko paida kiya jinki Zaat se Deen ko badi Quwwat hasil hui.
Unke Naam
1. Shaikh Abdul Qadar Jeelani Hambali rahmatullahi alaih aur
2. Abdur Rahman Bin Joozi hambali Rahmatullahi alaih hai.
1. Shaikh Abdul Qadar Jeelani Rahmatullahi alaih ki wilada 470 hijri me hui.
Hazrat Shaikh Isteqamat ke pahad the, ittebae Kamil,Ilme Rasikh aur taaide Ghaibi ne apko us Muqam par pohancha dya tha k Haq o Batil, Noor o Zulmat, Ilhame Saheeh aur kaide Shaitani me pura Imtyaz paida hogaya tha.
SHAIKH UMAR KAISANI kehte hai ke Shaikh Abdul Qadar Jeelani Rahmatullahi alaih ki Koi Majlis aisi na hoti thi JISME YAHOODI aur ISAI ISLAM na Qabool karte the aur RAHZAN KHOONI aur Jaraem pesha TAUBA se Musharraf na hote ho, Faasidul Aeteqaad apne GHALAT AQAID se tauba na karte ho.
Apka Inteqal 561 hijri me hua.
2. Allama ibne Joozi hambali Rahmatullahi alaih 508 hijri me paida hue, apko Kitabate Hadis or Kitabo ke Mutaele ka bhot Shauq tha .
Ap ki kaseer tasneefat hai apne Shaitan kis tarah Insan ko Makr o Fareb deta hai uske mutaliq ek Kitab likhi jiska Naam TALBEESE IBLEES hai.
Apne Chote Chote Roz Marrah ke Waqiaat se Sabaq Aamooz Naseehaten nikali.
Apki Majalise Waaz ka haal ye tha k ek ek Waaz me 100000 admi ate the.
Taseer ka ye Alam tha k Log GHASH kha k gir jate the, lojo ki Cheekhen nikal jati thi,ansun ki jhadyan lag jati,
Tauba karne walo ka kuch Shumar na tha, andaza kiya gaya k 20000 Yahoodi o Isai unke Hath par Musalman hue aur 100000 admiyo ne tauba ki.
Apki Wafaat 597 hijri me hui..
(TAREEKH PADHEN, WO QAUM SARBULAND REHTI HAI JINHE APNE MAZI KA ILM HOTA HAI, AJ HUMNE APNE MAZI KO BHULADYA HAI, TAREEKH PADHEN HAME NAYE FITNO SE LADNE KA SALEEKHA TAREEKHA AYEGA INSHA ALLAH)
Allah Ta'ala in Tamam ko Ummate Muhammadia ki taraf se Jazae Khair ata farmaye aur Inke Darajaat ko Buland farmaye aur Hame bhi Apne Deen ki Khidmat ke lye Istemal farmaye.
AMEEN.
====>SHARE<====
FBS

No comments:

Post a Comment