Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 8
Aaayat No 8:
كُنْتُمْ خَيْرَ أُمَّةٍ أُخْرِجَتْ
لِلنَّاسِ تَأْمُرُونَ بِالْمَعْرُوفِ وَتَنْهَوْنَ عَنِ الْمُنْكَرِ
Tum
Log Behtreen Ummat Jamat ho jo logon ke liye paida ki gayi hai tum bhalai ka Hukm
dete ho aur burai se rokte ho.
(Surah
Aal Imran :Aayat 110)
Allah Ta’ala ne is aayat me Sahaba e
Kiraam razi Allahu anhum ko Mukhatab kar ke un ko Khair e Ummat qarar diya aur
un ka wazeefa AMAR BIL MAROOF aur NAHII ANIL MUNKAR batlaya yani yahi Sahaba
Kiraam razi Allahu anhum ki Zindagi ka darkhashaan unwaan tha aur Zaahir baat
hai ke Jab tak khud Maroofaat par kaamil tareeqe se aamil aur har tarah ke
manhiyyaat (mana ki hui cheezen) se poori tarah se bachne wale na hote un ka
Zikr Quran me is shaan aur is sifat ke sath Maqaam e madah (tareef) me na kiya
jata.
Khuda ki Qasm bada Shaqi hai wo Insan jo unki
Aib joi karta hai aur unke Aibon ki talash o justjoo me rehta hai jinhe Quran
khud Khair e Ummat ka Toghraye Imtiyaz bakhsh raha hai.
No comments:
Post a Comment