Friday, 28 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 15

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat  17

Aayat No17:
وَالَّذِينَ جَاءُوا مِنْ بَعْدِهِمْ يَقُولُونَ رَبَّنَا اغْفِرْ لَنَا وَلِإِخْوَانِنَا الَّذِينَ سَبَقُونَا بِالْإِيمَانِ وَلَا تَجْعَلْ فِي قُلُوبِنَا غِلًّا لِلَّذِينَ آمَنُوا رَبَّنَا إِنَّكَ رَءُوفٌ رَحِيمٌ
“Aur jo log Un ke baad Aaye kehte hain ke Aye Hamare Rab Bakhsh dijiye Ap hum ko aur Hamare Bhaiyon ko jo (Imaan me) hum se sabaqqat kar gaye aur mat banaye hamare Dilon me Momineen ke liye koi Khot aye Rab tu bada Shafaqqat karne wala Maherbaan hai.
(Surah Hashr: 10)
Ulama ne likha hai ke ye aayat is baat ko mutazammin hai ke Sahaba-e-Kiram Razi Allahu anhum se Muhabbat karna wajib hai aur unke baare me kalimaat e Khair kehna Imaan ka Iqteza hai, Musalmano ke maal-e-fai o Ghanimat me isi ka hissa hai jo Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum se Muhabbat karne wala aur un ke baare me Kalimaat-e-Khair kehne wala ho jo un ke baare me bad Aeteqad ho aur un se Bughz rakhe aur us ko Musalman ke maal e Ghaneemat se Hissa nahi milega, goya Amalan us ko Musalmano ki jamat me se Shumaar nahi kiya jayega.

Is Aayat ke tahet Tafseer e Qurtubi me hai:
هَذِهِ الْآيَةُ دَلِيلٌ عَلَى وُجُوبِ مَحَبَّةِ الصَّحَابَةِ، لِأَنَّهُ جَعَلَ لِمَنْ بَعْدَهُمْ حَظًّا فِي الْفَيْءِ مَا أَقَامُوا عَلَى مَحَبَّتِهِمْ وَمُوَالَاتِهِمْ وَالِاسْتِغْفَارِ لَهُمْ، وَأَنَّ مَنْ سَبَّهُمْ أَوْ وَاحِدًا مِنْهُمْ أَوِ اعْتَقَدَ فِيهِ شَرًّا أَنَّهُ لَا حَقَّ لَهُ فِي الْفَيْءِ، رُوِيَ ذَلِكَ عَنْ مَالِكٍ وَغَيْرِهِ. قَالَ مَالِكٌ: مَنْ كَانَ يُبْغِضُ أَحَدًا مِنْ أَصْحَابِ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، أَوْ كَانَ فِي قَلْبِهِ عَلَيْهِمْ غِلٌّ، فليس له حق في في المسلمين
“Ye Aayat daleel hai ke Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum se Muhabbat karna wajib hai is liye ke Allah ne baad walon ke liye Maal-e-Ghaneemat me usi waqt Hissa muqarrar kiya hai jab tak ke  wo Sahaba-e-kiram razi Allahu anhum se Muhabbat karte rahen un se ta’luq e khatir ka Izhaar karen aur un ke liye Dua-e-Maghfirat karte rahen aur jis ne un ko ya un me se kisi ko Bura-Bhala kaha ya un ke baare me Bura-Aeteqad rakha us ka Maal-e-Ghaneemat me koi Haq nahi hai.
Aur ye baat Imam Malik waghaira se Manqool hai Hazrat Imam Malik rahmatullahi alaih ne farmaya Jo Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke Ashaab me se kisi se Bughz rakhe ya us ke dil me un ki janib koi Khot ho to us ka maal-e-ghaneemat me koi Haq nahi hai.
(Tafseer-e-Qurtubi Surah Hashr Aayat 10)
Aur Imam Raazi rah farmate hain:
وَبَيَّنَ أَنَّ مِنْ شَأْنِ مَنْ جَاءَ مِنْ بَعْدِ الْمُهَاجِرِينَ وَالْأَنْصَارِ أَنْ يَذْكُرَ السَّابِقِينَ وَهُمُ الْمُهَاجِرُونَ وَالْأَنْصَارُ بِالدُّعَاءِ وَالرَّحْمَةِ فَمَنْ لَمْ يَكُنْ كَذَلِكَ بَلْ ذَكَرَهُمْ بِسُوءٍ كَانَ خَارِجًا مِنْ جُمْلَةِ أَقْسَامِ المؤمنين بحسب نص هذه الآية.

“Allah ta’ala ne batla diya ke Muhajireen o Ansaar se baad me aane walon ka ye wazeefa hai ke wo Sabiqeen yani Muhajireen o Ansaar ko Dua-e-Rahmat ke sath yaad karen aur jo aisa nahi hai aur us ne un ka zikr burai se kiya to wo Is Aayat ki Ruu se Ahl-e-Imaan ki har qism se Kharij hogaya.
(Tafseer-e-Kabeer Surah Hashr Aayat 10)
       Ek taraf Quran ka ye irshad aur Ulama-e-Ummat ke ye bayanaat hain aur doosri taraf Maulana Maudoodi marhoom ki wo nigarishaat hain jin me Sahaba-e-Kiraam razi Allahu anhum ki Zawaat-eQudsiya ko Majrooh aur naqaabil e Aetebaar banane ki Koshish e narawaa ki gayi hai.
       Maulana Maudoodi ki nigarishaat ka kuch hissa Ap is Blog me mulaheza farmayenge, use Mulaheza farmaye aur Dekhiye ke Maulana Maudoodi ka qalm Sahaba-e-Kiraam razi Allahu anhum ke baare me kis darjeh Ghair Muhtaat aur un ki is qism ki tehreeren kahan tak Qalb o Nazar me samaye jane ke qaabil hain.

       Hame Maulana ki Zaat se koi Purkhaash nahi hum un ki baaz Salahiyaton ke qadardaan hain magar Sahaba-e-Kiraam razi Allahu anhum ki zaat Maulana Maudoodi se kahiin Buland hai. Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ke baare me kisi ki Jurrat e beja aur kisi bhi Insan ka namunasib rawayya bardasht nahi kiya jasakta.
FBS

No comments:

Post a Comment