Monday, 17 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 11

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 12

Aayat No 12:

فَأَنْزَلَ اللَّهُ سَكِينَتَهُ عَلَى رَسُولِهِ وَعَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَأَلْزَمَهُمْ كَلِمَةَ التَّقْوَى وَكَانُوا أَحَقَّ بِهَا
Phir Utara Allah Ta’ala Ne Apni Taraf Se Rasool Aur Momineen Par Itminan Aur Qayam Rakha Un Ko Taqwe Ki Baat Par Aur Wahi Is Ke Layeq Aur Is Ke Ahel The.
(Surah Al-Fatah: 26)
Is Aayat Se Maloom Hua Keh Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Tarah Sahaba Kiraam Razi Allahu Anhum Ke Sath Bhi Allah Ta’ala Ka Khusoosi Mamla Tha Aur Saare Hi Sahaba Muttaqi The Balke Ye Taqwe Unki Hayaat Ka Juzwe Laazim Tha Aur Is Se Ye Bhi Maloom Hua Ke Allah Ta’ala Ke Yahan Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum Sab Se Ziada Muazzaz O Mukarram The Jaisa Ke ان اکرمکم عند اللہ اتقاکم Ka Taqaza Hai. Imam Raazi Tafseer E Kabeer Me Likhte Hain:
مَعْنَاهُ أَنَّهُمْ كَانُوا عِنْدَ اللَّهِ أَكْرَمَ النَّاسِ فَأُلْزِمُوا تَقْوَاهُ
“Is Ka Matlab Ye Hai Ke Wo Allah Ke Yahan Sab Se Muazzaz The Isi Liye Taqwe Ko Un Ki Zaat Ke Liye Laazim Kardiya.(Tafseer E Kabeer Surah Fatah Ayat 26)

No comments:

Post a Comment