Kya Yaum e
Aashoora ka Roza Shahadat ki wajeh se hai?
* 10
Muharram ko Islam se pehle Guzashta Ummaton me badi Izzat o Waqaar ki Nazron se
dekha jata tha, Is din Moosa Alaihis salam aur bani Israil ko Allah Ta’ala ne
Zaalim Firaon se Najaat di aur wo Zaalim aur uske Rufaqa Behr-e-Qalzam me Gharq
kiye (duba diye) gaye, to Moosa alaihis salam ne is din Shukriya ka Roza rakha
tha, Aanhazrat sallallahu alaihi wasallam ne bhi Roza rakha.
Yaum-e-Aashoora Karbala ke Waqie se
pehle hi Muazzam o Mukarram Nazron se nawaza gaya tha, ye BilkulGhalat hai ke
Syedna Hazrat Hussain razi Allahu anhu ki Shahadat ke baad yaum-e-Aashoora
Mohtaram hua aur Waqie Shahadat ki wajeh se roza rakha jata hai; balkeh Saheeh
ye hai ke Allah Ta’ala ne Hazrat Imam Hussain razi Allahu anhu ki Shahadat ke
liye aisa Mubarak o Muazzam din pasand farmaya jis ki wajeh se Ap ki Shahadat
ke Darjaat aur Fazael me ziyadti farmayi.
-Fatawa
Raheemiya 2/381, Fatawa Mehmoodiya 6/132
* Zikr-e-Shahadat
ka Ayyam-e-Ashrae (10 Din) Muharram me karna Rawafiz(Shia) ki Mushahabat ki
wajeh se Mana hai aur MAATAM, NOHA(Rona peetna) karna Haram hai, Hadees Shareef
me Ap sallallahu alaihi wasallam ne Marsiyon se mana farmaya hai aur Khilaaf e
Riwayaat bayan karna sab Abwaab me Haraam hain, Khaas Dino me Sadqaat Taqseem
karna, agar ye janta hai ke Aj Hi Ziada Sawab hai to Bid’at Zalalah hai, kisi
din ko khaas kar ke Khaana taqseem karna laghu(bekar cheez) hai, aur Sadqa
khaan Maaldaar ke liye Makrooh aur Syed ke liye Haraam hai.
-Fatawa Rasheediya
139
10 Muharram
ko Zikr-e-Shahadat ka bayan karna; Agarche Saheeh Riwayaat se ho ya Sabeel laga
kar Sharbat pilana Ya Chandah Sabeel Sharbat me dena ya Doodh pilana ye sab Saheeh
nahi hai aur Rawafiz se Tashabboh (similarity) ki wajeh se Haraam hai.
-Fatawa Rasheediya
139
No comments:
Post a Comment