Monday, 17 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 12

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 13

Aayat No 13:
وَلَكِنَّ اللَّهَ حَبَّبَ إِلَيْكُمُ الْإِيمَانَ وَزَيَّنَهُ فِي قُلُوبِكُمْ وَكَرَّهَ إِلَيْكُمُ الْكُفْرَ وَالْفُسُوقَ وَالْعِصْيَانَ أُولَئِكَ هُمُ الرَّاشِدُونَ

"Lekin Allah ne Iman ko tumhare liye Mehboob bana diya aur us ko tumhare dilon me muzayyan kardiya aur Kufr o Isyaan o Fusooq ko tumhare liye napasandeeda kardiya yahi log ache raaste wale hain."
(Surah Al-Hujuraat: Ayat 7)

Is aayat se ye maloom hua ke sahaba kiraam razi Allahu anhum Imaan e Kaamil ke darje par the aur Kufr o fisq o Isyaan yani Zaahiri o Baatini, Amali o Qauli har tarah ki masiyat se mehfooz the aur is hifazat ka intezam khud Allah ne kiya tha. Tafseer e Kabeer me hai:
كَرَّهَ إِلَيْكُمُ الْكُفْرَ وَهُوَ الْأَمْرُ الْأَعْظَمُ كَمَا قَالَ تَعَالَى: إِنَّ الشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ [لُقْمَانَ: 13] .
ثُمَّ قَالَ تَعَالَى: وَالْفُسُوقَ يَعْنِي مَا يُظْهِرُ لِسَانُكُمْ أَيْضًا، ثُمَّ قَالَ: وَالْعِصْيانَ وَهُوَ دُونَ الْكُلِّ وَلَمْ يَتْرُكْ عَلَيْكُمُ الْأَمْرَ الْأَدْنَى وَهُوَ الْعِصْيَانُ، وَقَالَ بَعْضُ النَّاسِ الْكُفْرُ ظَاهِرٌ وَالْفُسُوقُ هُوَ الْكَبِيرَةُ، وَالْعِصْيَانُ هُوَ الصَّغِيرَةُ،

“Yani Tumhare liye Kufr ko Makrooh bana diya aur Kufr sab se bada Gunah hai jaisa ke Allah ne farmaya Shirk Zulm-e-Azeem hai phir Allah ne lafz “Fusooq” zikr kiya use muraad wo gunah hai jo zaban se zaahir ho phir “Isyaan” ka lafz istemal kiya wo Kufr aur Fisq se kamtar darja hai yani Sab se kam darje ki jo cheez thi Allah ne tumhare dil me us ki bhi nafrat paida kardi.
Aur Baaz ne kaha ke “Kufr” ka matlab to zaahir hai aur “Fusooq” se muraad gunah-e-kabeera hai hai aur “Isyaan” se muraad Gunah-e-sagheera hai.”
(Tafseer e Kabeer Surah Al-Hujuraat Ayat No 7)

Yani Matlab ye hai ke Allah Ta’ala ne Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ke dil me chote bade har tarah ke Gunah ka tasawwur tak napasand banadiya tha. Is liye Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ka intehai darje ka Muttaqi hona zaahir hota hai.
Ye Aayat Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ke haq me Allah Ta’ala ki taraf se aisi badi shahadat hai aur unki Tadeel o tazkiye par aisi pukhta daleel hai ke is ke baad Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ki zindagi ke baare me aib joi aur unke Akhlaaq o kirdaar ke baare me lab kushai badi jur’at o jasarat ki baat hai.
FBS

No comments:

Post a Comment