….Allah
ne tum ko chun liya aur usne tumhare liye deen me koi tangi nahi paida ki. Tumhare
baap Ibrahim alaihis salam ka deen hai unho ne tumhara naam Musalman pehle se rakha
aur ye naam is Quran me bhi hai taake Rasool tumhare oopar Gawah ho aur tum
logon par gawah bano…..
(Surah
Haj 22:78)
Quran ki ye aayat is baat me bilkul
sareeh hai ke Sahaba Kiram razi Allahu anhum ko Khuda wande Khuddoos ne chuna
tha. Andaza lagayye ke jo Nufoos e Qudsiyyah Allah ke chune hue hon jin ko Allah
ne Apne deen ke liye khud chuna ho unka Maqaam Khuda ke yahan kis darje Buland
hoga un ke maqaam ki azmat o Raf’at ka kaun andaza laga sakta hai wo apne
Akhlaaq o Kirdaar me kis darjeh Jauhar e Khalis honge.
Badi Jurrat o Jasarat ki baat hai ke
in Sahaba Kiram razi Allahu anhum ko Hadaf e Malamat banaya jaye, unki aib
joi ki jaye aur unnki wo tasweer pesh ki jaye jo kisi bhi shareef aadmi ke liye
baais e nang o aar ho.
Aisa karne wala Sirf Sahaba e
Kiraam razi Allahu anhum ki hi tanqees (nuqs nikalna) nahi karta balke wo Allah
ki zaat ko bhi tanqeed o ta’an ka nishana bana raha hai aur wo
Kitabullah ki is tasreeh ka munkir ho raha hai.
Is aayat e Karima me jahan Sahaba Kiram
razi Allahu anhum ke Allah ki janib se Chune hue hone ka bayan hai wahiin unke
Logon par Gawah hone ka bhi bayan hai. Aur Gawah hone ke liye zaroori hai ke un
me Ahl Darje ki sifaat payi jaye aur wo har tarah je Fisq o Fujoor (Gunah) ke
Shaaibe se paak hon warna jo Khud Ghair Aadil ho aur Kharaab sifaat ka haamil ho doosron ke liye Aadil
gawah kaise ban sakta hai. Isi liye zaroori hai ke Sahaba Kiraam Razi Allahu anhum
Shahadat (gawahi) ke Aa’laa Miyaar par hon yani un me adalat kaamila paayi jaye
goya is aayat se ke Sahaba Kiraam Razi Allahu anhum ki Adaalat e Kaamila ka bhi
pata chala.
No comments:
Post a Comment