Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 6
Aayat No 6:
Aur isi tarah Hum ne tum ko ek Ummat Aadil banaya take tum log logon par gawah bano.
(Surah Baqarah 143)
Is aayat me Allah ne Sahaba Kiram razi Allahu anhum ki Jamat ko Ummate Wasata(aadil Ummat) farmaya aur batlaya ke wo logon par gawah bana ke pesh kiye jayenge. Ummat e Wasat ka matlab ye hai ke Ifraat o Tafreet se hat kar aisi motadil jamat jis me Ikhlaas o Lillahiyat, Deen o Diyanat, adalat o siqahat waghaira Sharait e Shahadat Aala darje ki payi jati hain.
Is aayat se bhi Sahaba e Kiram Razi Allahu anhum ki badi fazeelat aur unke Shahadat ke miyaar e Aala par hone ka saboot hota hai.
No comments:
Post a Comment