Thursday, 27 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 14


Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat  16


Aayat No 16:
وَإِنْ يُرِيدُوا أَنْ يَخْدَعُوكَ فَإِنَّ حَسْبَكَ اللَّهُ هُوَ الَّذِي أَيَّدَكَ بِنَصْرِهِ وَبِالْمُؤْمِنِينَ (62) وَأَلَّفَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ لَوْ أَنْفَقْتَ مَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا مَا أَلَّفْتَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ وَلَكِنَّ اللَّهَ أَلَّفَ بَيْنَهُمْ إِنَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Aur agar wo log Ap ko Dhoka dena ka Irada karen to beshak Allah apko kaafi hai, Allah wahi hai Jisne ne (Aye Nabi) Ap ki apni madad se aur Musalmano se tayeed farmayi aur Musalmano ke dilon ko jod diya. Agar ap Zameen ka saara khazana bhi kharch kar dalte jab bhi Aap in ke Dilon ko na jod paate, lekin Allah hi ne in ke Darmiyan Ulfat paida kardi. Beshak Allah Ghalib Hikmat wala hai.
(Surah Anfaal: 62-63)
     Is Aayat-e-Kareema se kayee baten Maloom huin.
1.            Awwal ye ke Allah Ta’ala ne Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ko Rasool sallallahu alaihi wasallam ki Tayeed o Nusrat ke liye Muntakhab kiya tha aur Zaahir baat aur bilkul khuli hui haqeeqat hai ke Allah Ta’ala jin ko apne Rasool ki Tayeed o Nusrat ke liye muntakhab karenge wo Apne Akhlaaq o aamal aur apne Qalb o Qaalib ke aetebar se nihyat paakezah, saaf Suthre aur Aamaal-e-Shaneeah (bure aamal) aur Aadaat-e-Mazmoomah se paak aur Mutahir honge unko Aam insano par Qiyas nahi kiya jasakta.
2.            Doosri baat ye maloom hui ke Allah ta’ala ne apne Fazl o Karam se saare Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ke Quloob(Dilon) ko Jod diya tha aur un me Ukhuwwat, Bhai Chaargi, Muhabbat aur Ulfat ka wo Rishta Qaayam kardiya tha jo Nasab o dum ke Rishte se kahiin ziada A’alaa aur Muhkam tha yahi wajeh hai ke Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ke maa-bain jo Ittehad aur Rishta tha aur ek doosre ke liye Iisaar o Qurbani,Jaan-Baazi o jaan Sipaari ka jazba tha aur jis ka mushaheda un ki poori zindagi me hota rehta tha us ki misaal Aqwaam-e-Aalam ki Tawareekh me Dhoondne se bhi nahi milti.
Is liye hum kisi Sahabi ke baare me ye tasawwur nahi karsakte ke un ke dil me kisi doosre Sahabi ke baare me Bughz o Hasad, Nafrat o Adawat ka jazba parwarish pata raha ya Aapas me ek doosre ki Hurmat ko wo pamaal karte rahe, un ke Darmiyan agar Ikhtelaaf tha bhi ho aur Talwar bhi chali to us ka maqsad Ma’aaz Allah mahez jazbaat e Nafs ki taskeen aur Hawa-e-Nafs ki Itteba aur koi Dunyawi Gharz o Tama’ nahi thi balke un ke Saare Mushajaraat o Munaza’aat ka mansha az raahe  Khuloos o Lillahiat Mahez Nazariyaat ka ikhtelaf aur Ijtehad tha unho ne jo kuch bhi kiya use Haq samajh kar aur apna Fareeza-e-Imaani o Islami jaan kar kiya.
Kisi bhi Sahabi ke baare me Jaisa ke Quran ki In aayat ka Iqteza hai ye tasawwur bhi nahi kiya jasakta ke wo Mahez Jazbaat-e-Nafs ko taskeen dene ke liye kisi Sahabi ke Khilaf intezaami karwai karenge aur un ke khoon se Apni Talwaar ko rangeen banayenge.
Agar in Sahaba-e-kiraam razi Allahu anhum ke andar bhi ‘adawat o Dushmani aur Bughz o Inaad ke wahi jazbaat paida hote aur parwarish paate jo Umoomi sateh ke Akhlaaq o Kirdaar ke insano me paaye jate hain to batlaya jaye ke Allah Ta’ala ka ye irshad ke Allah Ta’ala ne unke Dilon ko jod diya aur doosri Aayat me hai ke Sab me Ukhuwwat (Bhai-Chaargi) ka rishta Qaayam kardiya uska kya matlab hai aur usko In’aam Shumar karna kyun kar durust hosakta hai?


No comments:

Post a Comment