Friday, 26 December 2014

Sharafat-E-Insani Ka Tasawwur

Islam, Musalman aur Ghair Muslim part 2

Sharafat-E-Insani Ka Tasawwur
     Baahmi(Aapsi) Insani Rawabit (Mel Jol/Ta’lluqaat)Ki Doosri Bunyad Insani Sharafat O Karamat Aur Ehteraam E Aadmiyyat Hai, Insan Ko Ba-Haisiyat Insan Allah Ta’ala Ne Qaabil-E-Ehteraam Qarar Diya Hai:
وَلَقَدْ كَرَّمْنَا بَنِي آدَمَ
“Hum Ne Insan Ko Muazzaz Banaya Hai”(Surah Bani Israil<17>:70)
Us Ke Jismani Saanche(Dhancha) Ko Behtreen Saancha Qarar Diya Gaya Hai, Irshad Hai
لَقَدْ خَلَقْنَا الْإِنْسَانَ فِي أَحْسَنِ تَقْوِيمٍ
“Hum Ne Insan Ko Behtreen Qaalib Me Paida Kiya Hai.”(At-Teen:4)
Ø     Ye Takreem O Ehteram Tamam Bani Nau(Bashar/Insan ki Aulaad) Insan Se Mutalliq Hai, Aur Is Me Musalman Aur Ghair Muslim Ki Tafreeq Nahi Hai, Paighambar-E-Islam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Amali Taur Par Is Haqeeqat Ko Wazeh Farmaya,
Ø     Ek Baar Ek Yahoodi Ka Janaza Jaraha Tha, Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Khade Hogaye, Logon Ne Arz Kiya Ke Ye Yahoodi Ka Janaza Hai, Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Jaan To Us Me Bhi Hai.
(Saheeh Bukhari Hadees No 1312)
Ø     Ghazwa-E-Ahzaab Ke Mauqe Se Ek Mushrik Musalmano Ke Hathon Maara Gaya, Ahl-E-Makkah Ne Khwahish Ki Ke Us Ki Qeemat Le Kar Laash Un Ke Hawale Karde, To Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Koi Qeemat Liye Baghair Laash Wapas Kardi
(Al-Bidaya Wan-Nihaya 4/107)
Kyun Ke Insani Naash Ki Qeemat Wusool Karna Insani Ehteram Ke Mughaair (Mukhalif)Hai
Ø     Islam Se Pehle Jung Ka Koi Qanoon Nahi Tha, Aur Log Maqtool(Jiska Qatl Kiya Gaya) Ke Aazaa Tarash Kar Haar(Necklace) Pehante Aur Apni Aatish-E-Inteqam Bujhate The, Islam Ne Ek To Hattal Maqdoor Jung Se Bachne Ka Hukm Diya, Lekin Agar Is Ki Naubat Aahi Jaye, To Jung Ke Muhazzab Qawaneen Muqarrar Kiye, Min Jumla Un Ke Ye Hai Ke Agar Koi Shakhs Giraft Me Aajaye To Iizaa (Takleef) Pohancha Kar Qatl Na Kiya Jaye, Aur Jo Maare Jayen, Un Ke Aazaa(Body Parts) Kaate Na Jayen Ke Ye Ehteraam-E-Insaniyat Ke Khilaf Hai.

(Jaame Tirmizi 2/401)

Sunday, 21 December 2014

Poori Insaniyat Ek Kumbah hai

Bismillahir Rahmanir Raheem

Islam, Musalman aur Ghair Muslim part 1

Poori Insaniyat Ek Kumbah hai

Maujoodah Ilmi haalaat ke pase manzar me Musalmano aur Ghair Muslim Bhaiyon ke darmiyan Ta’luqaat ka masla badi ahmiyat Ikhtiyar kar gaya hai, aur Afsos ke Hum is masle par Mahez Siyasi aur Maaddi Nuqta e Nazr se Ghaur karte rahe hain , Halanke Jab Hum Islam ko ek Hama Geer Aur Jame Nizam e hayaat samajthe hain, to hamaara farz hai ke Hum is masle par bhi Islami Nuqta e Nazr se sochen aur dekhen ke is baare me Haqeeqi Islami Talimat kiya hain?
Poori Insaniyat- Ek Kumbah
        Is silsile me bunyadi baat ye hai ke Quran Majeed ke irshad ke mutabiq poori Insaniyat ka Aaghaz ek hi Hasti se hua hai, Khuda ne usi hasti se us ka joda paida kiya aur us jode se poori insaniyat wujood pazeer hui:
يَاأَيُّهَا النَّاسُ اتَّقُوا رَبَّكُمُ الَّذِي خَلَقَكُمْ مِنْ نَفْسٍ وَاحِدَةٍ وَخَلَقَ مِنْهَا زَوْجَهَا وَبَثَّ مِنْهُمَا رِجَالًا كَثِيرًا وَنِسَاءً
Tarjuma: “Aye Logo! Apne Rab se Daro, Jis ne tum ko ek hi jaan se paida kiya hai, aur usi se us ka Joda paida kiya hai, Neez un dono se Bhot se Mard o Aurat ko wujood Bakhsha.”

(Surah Nisa: 1)

     Is tarah Islam  ki nazar me poori insaniyat ek hi kumbah aur khandaan hai, ye ek hi darakht ki shaakhen aur ek hi guldaste ke phool hain, is se hame insani Ukhuwwat(Bhai chaargi) ka sabaq milta hai, jaise ek Musalman doosre musalman ka Bhai hai, usi tarah Har Insan Insaani rishte se hamara Bhai aur Hamare Wasee’ tar Khandaan aur Kumbe ka ek Hissa hai, ye ukhuwwat O Bhai Chaargi hame Muhabbat o pyar ka paigham deti hai, aur is jaanib mutawaajah karti hai ke hamare Dil me har fard Bashar se Muhabbat honi chahye.

Friday, 12 December 2014

Islam,Musalman aur Ghair Muslim

Islam,Musalman aur Ghair Muslim.

         Islam ek hama geer aur Jame mazhab hai, jo zindagi ke tamam shobon me Insaniyat ki rehnumai karta hai, wo banda ko Khuda se jordta hai, wo ek musalman aur doosre musalman ke darmiyan rishta ukhuwwat ko istewar karta hai, wo poori insaniyat ko ek doosre ke sath Wahdat ki ladi me pirota hai, aur 2 Qaumo ke darmiyan baham rawabit(connections) ke usool par raushni dalta hai isi liye Quran o Hadees me Musalmano aur Ghair Muslimo ke talluqaat ke baare me wazeh Usool maujood hain aur Fuqaha ne Apne Ijtehadaat ke zarye unhe mazeed munaqqah (wazeh) kar diya hai.
        Maujoodah aalami haalaat me Islam aur Musalmano ke Khilaf maghribi propagandas aur Doosri taraf Mehroomi o Mayoosi se do chaar baaz mazloom Musalmano ke radd-e-Amal ki wajeh se Musalamno aur Ghair muslimo ke ta’luqaat ka Mauzoo bhot hi ahmiyat ikhtiyar kar gaya hai.
        Ye ek Haqeeqat hai ke maujooda halaat me apni mazhabi shinakht(identity) ki hifazat ke sath usi rawadaari aur murawwat ko Furoogh dene ki zaroorat hai, jo insani ukhuwwat ke tahet Ghair Muslimo ke tayeen hum par aayed hoti hai, aur jo biainihi kitab o sunnat ki taleemaat aur us ke mansha o maqsad ke mutabi hai, kyun ke Jab Talluqaat motadil honge, tabhi Allah ke bando tak Allah ke deen ki dawat pohanchai jasakegi aur Khaliq aur Makhlooq ka rishta istiwaar karne me hum kamiyaab hosakenge, Musalmano ko baher Soorat ye baat yaad rakhni chahye ke wo DAYEE hain aur doosri Qaumen Mad’oo aur Mukhatab, aur Dayee ke liye wahi yak taraf muhabbat o dardmandi matloob hoti hai, jo kisi Baap aur Maa ko apni aulaad se hoti hai.

Saturday, 6 December 2014

KYA RABI-UL-AWWAL KE MAHINE KI KHUSH KHABRI DENE SE JANNAT MILEGI

KYA RABI-UL-AWWAL KE MAHINE KI KHUSH KHABRI DENE SE JANNAT MILEGI

Ap(Sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya:
1 “Jo Mujh par jaan boojh kar jhoot bandhe uska thikana JAHANNAM hai."
) وحدثنا محمد بن عبيد الغبري، حدثنا أبو عوانة، عن أبي حصين، عن أبي صالح، عن أبي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «من كذب علي متعمدا، فليتبوأ مقعده من النار»
( MUQADMA SAHEEH MUSLIM HADEES NO 3)
2."Admi ke Jhoota hone ke lye yahi kafi hai k suni sunai baat (bagair tehqeeq) ke doosro tak pohanchaye."
وحدثنا عبيد الله بن معاذ العنبري، حدثنا أبي، ح وحدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الرحمن بن مهدي قالا: حدثنا شعبة، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن أبي هريرة قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «كفى بالمرء كذبا أن يحدث بكل ما سمع»
(MUQADMA SAHEEH MUSLIM BAAB NAHI ANIL HADEES BI-KULLI MAA SAMI'AA.)
* RABI-ul-Awwal ya kisi aur mahine ki mubarakbad dene se JANNAT milna kisi Hadees se sabit nahi hai, aj kal 📵 whatsapp/face book ke zarye aisi 📵 jhooti baaten Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki taraf nisbat kar ke aam ki jarahi hai aur hum jaante hue ya anjaane me unhe fwd kar ke ya share kar ke is JHOOT me shamil horahe hain aur apna thikana Jahannam me bana rahe hain.

Yaad rakhye !

⏩ Agar ap ko bhi aisa msg aya ya apne fwd ya share kiya ho to is post ko doosro tak pohancha kar Is Ghalat baat ka rad karen aur ghalat baat pohanchane ki tauba karlen aur jin jin tak pohanchaya tha un ko us baat ke ghalat hone ki ittela deden warna Qayamat ke din wo Ap ka gireban pakdenge.
==============================
󾕎 FBS

Friday, 28 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 15

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat  17

Aayat No17:
وَالَّذِينَ جَاءُوا مِنْ بَعْدِهِمْ يَقُولُونَ رَبَّنَا اغْفِرْ لَنَا وَلِإِخْوَانِنَا الَّذِينَ سَبَقُونَا بِالْإِيمَانِ وَلَا تَجْعَلْ فِي قُلُوبِنَا غِلًّا لِلَّذِينَ آمَنُوا رَبَّنَا إِنَّكَ رَءُوفٌ رَحِيمٌ
“Aur jo log Un ke baad Aaye kehte hain ke Aye Hamare Rab Bakhsh dijiye Ap hum ko aur Hamare Bhaiyon ko jo (Imaan me) hum se sabaqqat kar gaye aur mat banaye hamare Dilon me Momineen ke liye koi Khot aye Rab tu bada Shafaqqat karne wala Maherbaan hai.
(Surah Hashr: 10)
Ulama ne likha hai ke ye aayat is baat ko mutazammin hai ke Sahaba-e-Kiram Razi Allahu anhum se Muhabbat karna wajib hai aur unke baare me kalimaat e Khair kehna Imaan ka Iqteza hai, Musalmano ke maal-e-fai o Ghanimat me isi ka hissa hai jo Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum se Muhabbat karne wala aur un ke baare me Kalimaat-e-Khair kehne wala ho jo un ke baare me bad Aeteqad ho aur un se Bughz rakhe aur us ko Musalman ke maal e Ghaneemat se Hissa nahi milega, goya Amalan us ko Musalmano ki jamat me se Shumaar nahi kiya jayega.

Is Aayat ke tahet Tafseer e Qurtubi me hai:
هَذِهِ الْآيَةُ دَلِيلٌ عَلَى وُجُوبِ مَحَبَّةِ الصَّحَابَةِ، لِأَنَّهُ جَعَلَ لِمَنْ بَعْدَهُمْ حَظًّا فِي الْفَيْءِ مَا أَقَامُوا عَلَى مَحَبَّتِهِمْ وَمُوَالَاتِهِمْ وَالِاسْتِغْفَارِ لَهُمْ، وَأَنَّ مَنْ سَبَّهُمْ أَوْ وَاحِدًا مِنْهُمْ أَوِ اعْتَقَدَ فِيهِ شَرًّا أَنَّهُ لَا حَقَّ لَهُ فِي الْفَيْءِ، رُوِيَ ذَلِكَ عَنْ مَالِكٍ وَغَيْرِهِ. قَالَ مَالِكٌ: مَنْ كَانَ يُبْغِضُ أَحَدًا مِنْ أَصْحَابِ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، أَوْ كَانَ فِي قَلْبِهِ عَلَيْهِمْ غِلٌّ، فليس له حق في في المسلمين
“Ye Aayat daleel hai ke Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum se Muhabbat karna wajib hai is liye ke Allah ne baad walon ke liye Maal-e-Ghaneemat me usi waqt Hissa muqarrar kiya hai jab tak ke  wo Sahaba-e-kiram razi Allahu anhum se Muhabbat karte rahen un se ta’luq e khatir ka Izhaar karen aur un ke liye Dua-e-Maghfirat karte rahen aur jis ne un ko ya un me se kisi ko Bura-Bhala kaha ya un ke baare me Bura-Aeteqad rakha us ka Maal-e-Ghaneemat me koi Haq nahi hai.
Aur ye baat Imam Malik waghaira se Manqool hai Hazrat Imam Malik rahmatullahi alaih ne farmaya Jo Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke Ashaab me se kisi se Bughz rakhe ya us ke dil me un ki janib koi Khot ho to us ka maal-e-ghaneemat me koi Haq nahi hai.
(Tafseer-e-Qurtubi Surah Hashr Aayat 10)
Aur Imam Raazi rah farmate hain:
وَبَيَّنَ أَنَّ مِنْ شَأْنِ مَنْ جَاءَ مِنْ بَعْدِ الْمُهَاجِرِينَ وَالْأَنْصَارِ أَنْ يَذْكُرَ السَّابِقِينَ وَهُمُ الْمُهَاجِرُونَ وَالْأَنْصَارُ بِالدُّعَاءِ وَالرَّحْمَةِ فَمَنْ لَمْ يَكُنْ كَذَلِكَ بَلْ ذَكَرَهُمْ بِسُوءٍ كَانَ خَارِجًا مِنْ جُمْلَةِ أَقْسَامِ المؤمنين بحسب نص هذه الآية.

“Allah ta’ala ne batla diya ke Muhajireen o Ansaar se baad me aane walon ka ye wazeefa hai ke wo Sabiqeen yani Muhajireen o Ansaar ko Dua-e-Rahmat ke sath yaad karen aur jo aisa nahi hai aur us ne un ka zikr burai se kiya to wo Is Aayat ki Ruu se Ahl-e-Imaan ki har qism se Kharij hogaya.
(Tafseer-e-Kabeer Surah Hashr Aayat 10)
       Ek taraf Quran ka ye irshad aur Ulama-e-Ummat ke ye bayanaat hain aur doosri taraf Maulana Maudoodi marhoom ki wo nigarishaat hain jin me Sahaba-e-Kiraam razi Allahu anhum ki Zawaat-eQudsiya ko Majrooh aur naqaabil e Aetebaar banane ki Koshish e narawaa ki gayi hai.
       Maulana Maudoodi ki nigarishaat ka kuch hissa Ap is Blog me mulaheza farmayenge, use Mulaheza farmaye aur Dekhiye ke Maulana Maudoodi ka qalm Sahaba-e-Kiraam razi Allahu anhum ke baare me kis darjeh Ghair Muhtaat aur un ki is qism ki tehreeren kahan tak Qalb o Nazar me samaye jane ke qaabil hain.

       Hame Maulana ki Zaat se koi Purkhaash nahi hum un ki baaz Salahiyaton ke qadardaan hain magar Sahaba-e-Kiraam razi Allahu anhum ki zaat Maulana Maudoodi se kahiin Buland hai. Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ke baare me kisi ki Jurrat e beja aur kisi bhi Insan ka namunasib rawayya bardasht nahi kiya jasakta.
FBS

Thursday, 27 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 14


Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat  16


Aayat No 16:
وَإِنْ يُرِيدُوا أَنْ يَخْدَعُوكَ فَإِنَّ حَسْبَكَ اللَّهُ هُوَ الَّذِي أَيَّدَكَ بِنَصْرِهِ وَبِالْمُؤْمِنِينَ (62) وَأَلَّفَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ لَوْ أَنْفَقْتَ مَا فِي الْأَرْضِ جَمِيعًا مَا أَلَّفْتَ بَيْنَ قُلُوبِهِمْ وَلَكِنَّ اللَّهَ أَلَّفَ بَيْنَهُمْ إِنَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
Aur agar wo log Ap ko Dhoka dena ka Irada karen to beshak Allah apko kaafi hai, Allah wahi hai Jisne ne (Aye Nabi) Ap ki apni madad se aur Musalmano se tayeed farmayi aur Musalmano ke dilon ko jod diya. Agar ap Zameen ka saara khazana bhi kharch kar dalte jab bhi Aap in ke Dilon ko na jod paate, lekin Allah hi ne in ke Darmiyan Ulfat paida kardi. Beshak Allah Ghalib Hikmat wala hai.
(Surah Anfaal: 62-63)
     Is Aayat-e-Kareema se kayee baten Maloom huin.
1.            Awwal ye ke Allah Ta’ala ne Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ko Rasool sallallahu alaihi wasallam ki Tayeed o Nusrat ke liye Muntakhab kiya tha aur Zaahir baat aur bilkul khuli hui haqeeqat hai ke Allah Ta’ala jin ko apne Rasool ki Tayeed o Nusrat ke liye muntakhab karenge wo Apne Akhlaaq o aamal aur apne Qalb o Qaalib ke aetebar se nihyat paakezah, saaf Suthre aur Aamaal-e-Shaneeah (bure aamal) aur Aadaat-e-Mazmoomah se paak aur Mutahir honge unko Aam insano par Qiyas nahi kiya jasakta.
2.            Doosri baat ye maloom hui ke Allah ta’ala ne apne Fazl o Karam se saare Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ke Quloob(Dilon) ko Jod diya tha aur un me Ukhuwwat, Bhai Chaargi, Muhabbat aur Ulfat ka wo Rishta Qaayam kardiya tha jo Nasab o dum ke Rishte se kahiin ziada A’alaa aur Muhkam tha yahi wajeh hai ke Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ke maa-bain jo Ittehad aur Rishta tha aur ek doosre ke liye Iisaar o Qurbani,Jaan-Baazi o jaan Sipaari ka jazba tha aur jis ka mushaheda un ki poori zindagi me hota rehta tha us ki misaal Aqwaam-e-Aalam ki Tawareekh me Dhoondne se bhi nahi milti.
Is liye hum kisi Sahabi ke baare me ye tasawwur nahi karsakte ke un ke dil me kisi doosre Sahabi ke baare me Bughz o Hasad, Nafrat o Adawat ka jazba parwarish pata raha ya Aapas me ek doosre ki Hurmat ko wo pamaal karte rahe, un ke Darmiyan agar Ikhtelaaf tha bhi ho aur Talwar bhi chali to us ka maqsad Ma’aaz Allah mahez jazbaat e Nafs ki taskeen aur Hawa-e-Nafs ki Itteba aur koi Dunyawi Gharz o Tama’ nahi thi balke un ke Saare Mushajaraat o Munaza’aat ka mansha az raahe  Khuloos o Lillahiat Mahez Nazariyaat ka ikhtelaf aur Ijtehad tha unho ne jo kuch bhi kiya use Haq samajh kar aur apna Fareeza-e-Imaani o Islami jaan kar kiya.
Kisi bhi Sahabi ke baare me Jaisa ke Quran ki In aayat ka Iqteza hai ye tasawwur bhi nahi kiya jasakta ke wo Mahez Jazbaat-e-Nafs ko taskeen dene ke liye kisi Sahabi ke Khilaf intezaami karwai karenge aur un ke khoon se Apni Talwaar ko rangeen banayenge.
Agar in Sahaba-e-kiraam razi Allahu anhum ke andar bhi ‘adawat o Dushmani aur Bughz o Inaad ke wahi jazbaat paida hote aur parwarish paate jo Umoomi sateh ke Akhlaaq o Kirdaar ke insano me paaye jate hain to batlaya jaye ke Allah Ta’ala ka ye irshad ke Allah Ta’ala ne unke Dilon ko jod diya aur doosri Aayat me hai ke Sab me Ukhuwwat (Bhai-Chaargi) ka rishta Qaayam kardiya uska kya matlab hai aur usko In’aam Shumar karna kyun kar durust hosakta hai?


Wednesday, 26 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 13

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 14 & 15

Aayat No 14:
لِلَّذِينَ أَحْسَنُوا الْحُسْنَى وَزِيَادَةٌ وَلَا يَرْهَقُ وُجُوهَهُمْ قَتَرٌ وَلَا ذِلَّةٌ أُولَئِكَ أَصْحَابُ الْجَنَّةِ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ
“Jin logon ne Nek Amal kiya un ke liye Jannat aur us se Zaida ek aur cheez hai (yani Allah ki Raza aur Uska ka Deedar) un ke chehron ko siyahi na Gheregi aur na Zillat, wo Log Jannat wale hain aur wo usme Hamesha rahenge.

(Surah Yunus: 26)
Aayat No 15:
التَّائِبُونَ الْعَابِدُونَ الْحَامِدُونَ السَّائِحُونَ الرَّاكِعُونَ السَّاجِدُونَ الْآمِرُونَ بِالْمَعْرُوفِ وَالنَّاهُونَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَالْحَافِظُونَ لِحُدُودِ اللَّهِ وَبَشِّرِ الْمُؤْمِنِينَ
“Taubah karne wale hain, Bandagi karne wale hain , Hamd o Shukr karne wale hain, Jihad karne wale hain, Rukoo’ aur Sajdah karne wale hain, Allah ke Hudood ki Hifazat karne wale hain…….”
(Surah Taubah: 112)
Ye Aayat e Kareema Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ki Zindagi ka naqshah pesh karti hai , isse Unki Chand Sifaton ka pata chala.
ð Taubah,
ð Hamd,
ð Shukr,
ð Jihad,
ð Salaat aur
ð Allah ki Hadon ki Hifazat.
#At-Taaiboon ki Tafseer me Tafseer –e-Qurtubi me hai:
“At-Taaiboon se muraad wo log hain jo Mazmoom Haalat se jo Allah ki nafarmani ke silsile ki ho se laut kar Umdah Sifaat ki taraf jis ka Ta’luq Allah ki Ita’at se hota hai aane wale hain.
(Tafseer-E-Qurtubi)
" التَّائِبُونَ هُمُ الرَّاجِعُونَ عَنِ الْحَالَةِ الْمَذْمُومَةِ فِي مَعْصِيَةِ اللَّهِ إِلَى الْحَالَةِ الْمَحْمُودَةِ فِي طَاعَةِ اللَّهِ
*At-Taaiboon ki is tafseer se Maloom hua ke Sahaba-e-Kiraam Razi Allahu anhum me Imaan o Islaam ke baad Sifaat-e-Mazmooma baaqi nahi reh gayi thiin aur un ke Nufoos har Gandi haalat aur Sifat se paak the, neez is aayat se Maloom hua ke Sahaba-e-Kiram razi Allahu anhum ki Zindagi ka maqsad Allah Ta’ala ke Hudood ko tordna nahi balke uski Hifazat tha aur isi par unki Zindagi guzri thi.

Monday, 17 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 12

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 13

Aayat No 13:
وَلَكِنَّ اللَّهَ حَبَّبَ إِلَيْكُمُ الْإِيمَانَ وَزَيَّنَهُ فِي قُلُوبِكُمْ وَكَرَّهَ إِلَيْكُمُ الْكُفْرَ وَالْفُسُوقَ وَالْعِصْيَانَ أُولَئِكَ هُمُ الرَّاشِدُونَ

"Lekin Allah ne Iman ko tumhare liye Mehboob bana diya aur us ko tumhare dilon me muzayyan kardiya aur Kufr o Isyaan o Fusooq ko tumhare liye napasandeeda kardiya yahi log ache raaste wale hain."
(Surah Al-Hujuraat: Ayat 7)

Is aayat se ye maloom hua ke sahaba kiraam razi Allahu anhum Imaan e Kaamil ke darje par the aur Kufr o fisq o Isyaan yani Zaahiri o Baatini, Amali o Qauli har tarah ki masiyat se mehfooz the aur is hifazat ka intezam khud Allah ne kiya tha. Tafseer e Kabeer me hai:
كَرَّهَ إِلَيْكُمُ الْكُفْرَ وَهُوَ الْأَمْرُ الْأَعْظَمُ كَمَا قَالَ تَعَالَى: إِنَّ الشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ [لُقْمَانَ: 13] .
ثُمَّ قَالَ تَعَالَى: وَالْفُسُوقَ يَعْنِي مَا يُظْهِرُ لِسَانُكُمْ أَيْضًا، ثُمَّ قَالَ: وَالْعِصْيانَ وَهُوَ دُونَ الْكُلِّ وَلَمْ يَتْرُكْ عَلَيْكُمُ الْأَمْرَ الْأَدْنَى وَهُوَ الْعِصْيَانُ، وَقَالَ بَعْضُ النَّاسِ الْكُفْرُ ظَاهِرٌ وَالْفُسُوقُ هُوَ الْكَبِيرَةُ، وَالْعِصْيَانُ هُوَ الصَّغِيرَةُ،

“Yani Tumhare liye Kufr ko Makrooh bana diya aur Kufr sab se bada Gunah hai jaisa ke Allah ne farmaya Shirk Zulm-e-Azeem hai phir Allah ne lafz “Fusooq” zikr kiya use muraad wo gunah hai jo zaban se zaahir ho phir “Isyaan” ka lafz istemal kiya wo Kufr aur Fisq se kamtar darja hai yani Sab se kam darje ki jo cheez thi Allah ne tumhare dil me us ki bhi nafrat paida kardi.
Aur Baaz ne kaha ke “Kufr” ka matlab to zaahir hai aur “Fusooq” se muraad gunah-e-kabeera hai hai aur “Isyaan” se muraad Gunah-e-sagheera hai.”
(Tafseer e Kabeer Surah Al-Hujuraat Ayat No 7)

Yani Matlab ye hai ke Allah Ta’ala ne Sahaba e Kiram razi Allahu anhum ke dil me chote bade har tarah ke Gunah ka tasawwur tak napasand banadiya tha. Is liye Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ka intehai darje ka Muttaqi hona zaahir hota hai.
Ye Aayat Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ke haq me Allah Ta’ala ki taraf se aisi badi shahadat hai aur unki Tadeel o tazkiye par aisi pukhta daleel hai ke is ke baad Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ki zindagi ke baare me aib joi aur unke Akhlaaq o kirdaar ke baare me lab kushai badi jur’at o jasarat ki baat hai.
FBS

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 11

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 12

Aayat No 12:

فَأَنْزَلَ اللَّهُ سَكِينَتَهُ عَلَى رَسُولِهِ وَعَلَى الْمُؤْمِنِينَ وَأَلْزَمَهُمْ كَلِمَةَ التَّقْوَى وَكَانُوا أَحَقَّ بِهَا
Phir Utara Allah Ta’ala Ne Apni Taraf Se Rasool Aur Momineen Par Itminan Aur Qayam Rakha Un Ko Taqwe Ki Baat Par Aur Wahi Is Ke Layeq Aur Is Ke Ahel The.
(Surah Al-Fatah: 26)
Is Aayat Se Maloom Hua Keh Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Tarah Sahaba Kiraam Razi Allahu Anhum Ke Sath Bhi Allah Ta’ala Ka Khusoosi Mamla Tha Aur Saare Hi Sahaba Muttaqi The Balke Ye Taqwe Unki Hayaat Ka Juzwe Laazim Tha Aur Is Se Ye Bhi Maloom Hua Ke Allah Ta’ala Ke Yahan Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum Sab Se Ziada Muazzaz O Mukarram The Jaisa Ke ان اکرمکم عند اللہ اتقاکم Ka Taqaza Hai. Imam Raazi Tafseer E Kabeer Me Likhte Hain:
مَعْنَاهُ أَنَّهُمْ كَانُوا عِنْدَ اللَّهِ أَكْرَمَ النَّاسِ فَأُلْزِمُوا تَقْوَاهُ
“Is Ka Matlab Ye Hai Ke Wo Allah Ke Yahan Sab Se Muazzaz The Isi Liye Taqwe Ko Un Ki Zaat Ke Liye Laazim Kardiya.(Tafseer E Kabeer Surah Fatah Ayat 26)

Sunday, 16 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 10

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 11

Aayat No 11:
وَعَدَ اللَّهُ الَّذِينَ آمَنُوا مِنْكُمْ وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَيَسْتَخْلِفَنَّهُمْ فِي الْأَرْضِ الخ
Allah Ne Tum Me Se Un Logon Se Jo Imaan Laaye Aur Ache Amal Kiye Wada Kiya Hai Ke Wo Unhe Zaroor Zameen Me Apna Khaleefa Banayega…”
(Surah Noor: 55)
Ye Aayat Khulafa E Arba Ki Khilafat Ke Baare Me Nas-E-Qata’i Hai Aur Isi Se Ye Bhi Pata Chalta Hai Ke Khulafa E Arba’ Sab Ke Sab Khudawand-E-Khuddoos Ke Yahan Khilafat Ke Mi’yaar-E-A’laa Par The.
Maulana Shabbir Ahmad Sahab Usmani Rah Is Aayat Ke Tahet Likhte Hain:
       “ Ye Khitab Farmaya Hazrat Ke Waqt Ke Logon Ko Yani Jo Un Me A’laa Darjeh Ke Nek Aur Rasool Sallallahu Alaihi  Wasallam Ke Kaamil Muttabi’een Hain. Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Baad Un Ko Zameen Ki Hi Hukumat Dega Aur Jo Deen E Islam Khuda Ko Pasand Hai Un Ke Hathon Se Use Dunya Me Qaa’im Karega. Goya Jaisa Ke Lafz “Istikhlaaf” Me Ishara Hai Wo Log Mahez Dunyawi Baadshahon Ki Tarah Na Honge Balke Paighambar Ke Janasheen Hokar Aasmani Badshahat Ka Aelan Karenge Aur Deen E Haq Ki Bunyad Jamayenge…………….. Alhamdulillah Ye Wada E Ilahi Charon Khulafa E Rashideen Razi Allahu Anhum Ke Hathon Poora Hua Aur Dunya Ne Is Azeem-Ush-Shaan Peshan Goi Ke Ek Ek Harf Ka Misdaaq Apni Aankhon Se Dekh Liya.”
Phir Likhte Hain :
“Is Aayat “Istikhlaaf” Se Khulafa-E-Arba Ki Badi Bhaari Fazeelat O Manqibat Nikalti Hai.”
       Is Aayat Ko Pesh E Nazar Rakhiye Aur Maulana Maudoodi Ne Hazrat Usman Razi Allahu Anhu Ke Baare Me Jo Kuch Kaha Aur Likha Hai Use Bhi Ap Dekh Len Ke Jin Khulafa Ke Baare Me Quran Me Ye Azeem Peshan Goi Aur Basharat Hai Unheen Ke Ek Fard Hazrat Usman Razi Allahu Anhu Ke Baare Me Maulana Maudoodi Ka Kya Mauquf Hai?

Thursday, 13 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 9

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 10

Aayat No 10:
مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللَّهِ وَالَّذِينَ مَعَهُ أَشِدَّاءُ عَلَى الْكُفَّارِ رُحَمَاءُ بَيْنَهُمْ تَرَاهُمْ رُكَّعًا سُجَّدًا يَبْتَغُونَ فَضْلًا مِنَ اللَّهِ وَرِضْوَانًا سِيمَاهُمْ فِي وُجُوهِهِمْ مِنْ أَثَرِ السُّجُو
Muhammad (Sallallahu alaihi wasallam) Allah ke Bande aur Uske Rasool hain aur jo log Ap ke sath hain wo Kaafiron ke muqable me bade Zor aawar hain aur Aapas me Naram dil (aur hamdard) hain. Tum unhen Rukoo’ aur Sajde me dekhoge wo Allah ke fazl ko chaha karte hain un ke Chehre par Sajde ke Asar ki Nishani hoti hai.
(Surah Al-Fatah : 29 )
Is Aayat me Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ka tazkirah bade Mehboobana Andaz me kiya gaya hai, Neez ye Batladiya gayahai ke Agar wo ek taraf kaafiron ke muqable me sakht hain to doosri taraf Aapas me ek doosri ke hamdard hain, Nihayat Ikhlaas ke sath Rukoo’ o Sajde me pade Allah Ta’ala ki ibadat me lagey rehte hain aur Ibadat o Ikhlas ka ye Noor un ke Chehre se phoota padta hai, wo Har Waqt Allah ke Fazl o karam ke mutalaashi rehte hain.

Wednesday, 12 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 8

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 9

Aayat No 9:
لَقَدْ رَضِيَ اللَّهُ عَنِ الْمُؤْمِنِينَ إِذْ يُبَايِعُونَكَ تَحْتَ الشَّجَرَةِ فَعَلِمَ مَا فِي 
قُلُوبِهِمْ فَأَنْزَلَ السَّكِينَةَ عَلَيْهِمْ وَأَثَابَهُمْ فَتْحًا قَرِيبًا

Yaqeenan Allah Razi hua Imaan walon se jab wo (Aye Nabi) Aap se darakht ke neeche Bai’t kar rahe the aur jaan liya jo unke dil me tha phir Allah ne un ke oopar Itminan utara aur unko qareebi fateh ka in’aam diya.(Surah Al-Fatah Aayat 18)
       Is Aayat se Maloom hua ke Bai’t e Rizwaan me Shareek Saare Sahaba Razi Allahu anhum se Allah Ta’ala raazi raha jis ke baare me khud Allah Ta’ala farmaden ke Allah un se raazi hai, andaaza lagayye ke Allah ke yahan us ka kya darja hoga. Wo jamaat apne Zaahir o Baatin ke aetebaar se kitni paakeeza jamaat hogi,  wo Imaan o Islaam aur Akhlaaq o Kirdaar se kis Miyaar ki hogi. Us jamaat ke baare me Ta’n o Tashnee’ aur Zaban o Qalam ki be ehtiyati kitni jasarat ki baat hai.
Note: Al Saarim Al-Maslool me Ibne Taimia Qazi Abu Ya’la se naqal karte hain . unho ne farmaya RAZA Allah ki ek sifate Qadeemah hai wo apni RAZA ka Aelaan sirf unhi ke liye farmate hain jin ke muta’liq wo jaante hain ke in ki wafaat mojibaat e raza par hogi.(Mariful Quran 8/106)

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 7

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 8

Aaayat No 8:

كُنْتُمْ خَيْرَ أُمَّةٍ أُخْرِجَتْ لِلنَّاسِ تَأْمُرُونَ بِالْمَعْرُوفِ وَتَنْهَوْنَ عَنِ الْمُنْكَرِ
Tum Log Behtreen Ummat Jamat ho jo logon ke liye paida ki gayi hai tum bhalai ka Hukm dete ho aur burai se rokte ho.
(Surah Aal Imran :Aayat 110)
       Allah Ta’ala ne is aayat me Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ko Mukhatab kar ke un ko Khair e Ummat qarar diya aur un ka wazeefa AMAR BIL MAROOF aur NAHII ANIL MUNKAR batlaya yani yahi Sahaba Kiraam razi Allahu anhum ki Zindagi ka darkhashaan unwaan tha aur Zaahir baat hai ke Jab tak khud Maroofaat par kaamil tareeqe se aamil aur har tarah ke manhiyyaat (mana ki hui cheezen) se poori tarah se bachne wale na hote un ka Zikr Quran me is shaan aur is sifat ke sath Maqaam e madah (tareef) me na kiya jata.
       Khuda ki Qasm bada Shaqi hai wo Insan jo unki Aib joi karta hai aur unke Aibon ki talash o justjoo me rehta hai jinhe Quran khud Khair e Ummat ka Toghraye Imtiyaz bakhsh raha hai.

Tuesday, 11 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 6

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 7

Ayat No 7:
يَاأَيُّهَا النَّبِيُّ حَسْبُكَ اللَّهُ وَمَنِ اتَّبَعَكَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ
Aye Nabi Ap ko Allah kaafi hai aur wo log Kaafi hain jinho ne Ap ki Itteba ki yani Momineen.
(Surah Anfal : Ayat 64 )

Is aayat e Kareema se Sahaba Kiram razi Allahu anhum ke muqaam e buland ka pata chalta hai. Allah Ta’ala ne un Ka Zikr Apne Zikr ke sath kiya aur apne sath Sahaba Kiraam razi Allahu anhum ki Maujoodgi ko Rasool Sallallahu alaihi wasallam ki tayeed o Nusrat(madad) aur Ap ki Himayat o Kifayat ke liye Kaafi qarar diya. Andaza lagayye keh Sahaba Kiraam razi Allahu anhum ka Allah Ta’ala ke yahan Kitna buland martaba hai.

Sunday, 9 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum Part 5

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 6

Aayat No 6:
Aur isi tarah Hum ne  tum ko ek Ummat Aadil banaya take tum log logon par gawah bano.
(Surah Baqarah 143)
Is aayat me Allah ne Sahaba Kiram razi Allahu anhum ki Jamat ko Ummate Wasata(aadil Ummat) farmaya aur batlaya ke wo logon par gawah bana ke pesh kiye jayenge. Ummat e Wasat ka matlab ye hai ke Ifraat o Tafreet se hat kar aisi motadil jamat jis me Ikhlaas o Lillahiyat, Deen o Diyanat, adalat o siqahat waghaira Sharait e Shahadat Aala darje ki payi jati hain.
       Is aayat se bhi Sahaba e Kiram Razi Allahu anhum ki badi fazeelat aur unke Shahadat ke miyaar e Aala par hone ka saboot hota hai.

Saturday, 8 November 2014

Azmat e Sahaba Razi Allahu anhum part 4

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 4 & 5

Aayat 4:
“Ap keh dijye ke tum amal kiye jao phir aage dekhega Allah tumhare Amal ko aur Rasool aur Momineen ko.
(Surah Taubah: 105 )
       Is aayat se maloom hua ke jis tarah Allah aur Uske Rasool Insano ke Aamal ke liye kasoti aur Mi’yaar hain usi tarah Sahaba e Kiram razi Allahu anhum bhi Kasoti aur Mi’yar hain aur Allah Ta’ala aur Rasool sallallahu alaihi wasallam ke baad Sahaba Kiram Razi Allahu anhum ka hi bada darjah hai.
Ayat 5:
Allah ne Momin Mard aur Momin Aurton se jannaton ka wada kar rakha hai ye wo baghaat hain jin ke neeche Nehren behti hongi wo hamesha us me rahenge aur Allah ne un se rehna ke baaghaat me ache thikano ka bhi wada kiya hai aur Allah ki razamandi (jo unhe haasil hogi) wo un sab se badi cheez hai aur wahi badi kamiyabi hai.
(Surah Taubah: 72)
       Ye aayat us zamane ke munafiqeen o munafiqaat ke muqable me Momineen o Mominaat ke liye naazil hui hia. Is aayat me saare hi Sahaba aur Sahabiyaat Razi Allahu anhum ke liye Jannat me Hamesha rehne ki basharat hai aur Allah ne un sab ko Apni Razamandi ka parwana diya hai.

Friday, 7 November 2014

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 3

Teesri aayat:
“Lekin Rasool aur jo log Ap ke sath Imaan laaye unho ne apne maalon aur jaano ke sath jihad kiya unhi ke liye Bhalaiyan hain aur wahi log Kamiyaab hain.”
(Surah Taubah 9:88)

       Is Aayat se Maloom hota hai ke Ap sallallahu alaihi wasallam ke zamane ke saare Momineen yani Sahaba Kiraam razi Allahu anhum ne apni jaano  aur apne maalon ke sath Allah Ta’ala ke raste me Jihad kiya aur Allah ne un sab ke sath badi Takeed ke sath Khairaat aur Falah ka paigham sunaya.

Thursday, 6 November 2014

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 2

….Allah ne tum ko chun liya aur usne tumhare liye deen me koi tangi nahi paida ki. Tumhare baap Ibrahim alaihis salam ka deen hai unho ne tumhara naam Musalman pehle se rakha aur ye naam is Quran me bhi hai taake Rasool tumhare oopar Gawah ho aur tum logon par gawah bano…..
(Surah Haj 22:78)
       Quran ki ye aayat is baat me bilkul sareeh hai ke Sahaba Kiram razi Allahu anhum ko Khuda wande Khuddoos ne chuna tha. Andaza lagayye ke jo Nufoos e Qudsiyyah Allah ke chune hue hon jin ko Allah ne Apne deen ke liye khud chuna ho unka Maqaam Khuda ke yahan kis darje Buland hoga un ke maqaam ki azmat o Raf’at ka kaun andaza laga sakta hai wo apne Akhlaaq o Kirdaar me kis darjeh Jauhar e Khalis honge.
       Badi Jurrat o Jasarat ki baat hai ke in Sahaba Kiram razi Allahu anhum ko Hadaf e Malamat banaya jaye, unki aib joi ki jaye aur unnki wo tasweer pesh ki jaye jo kisi bhi shareef aadmi ke liye baais e nang o aar ho.
       Aisa karne wala Sirf Sahaba e Kiraam razi Allahu anhum ki hi tanqees (nuqs nikalna) nahi karta balke wo Allah ki zaat ko bhi tanqeed o ta’an ka nishana bana raha hai aur wo Kitabullah ki is tasreeh ka munkir ho raha hai.

       Is aayat e Karima me jahan Sahaba Kiram razi Allahu anhum ke Allah ki janib se Chune hue hone ka bayan hai wahiin unke Logon par Gawah hone ka bhi bayan hai. Aur Gawah hone ke liye zaroori hai ke un me Ahl Darje ki sifaat payi jaye aur wo har tarah je Fisq o Fujoor (Gunah) ke Shaaibe se paak hon warna jo Khud Ghair Aadil ho aur  Kharaab sifaat ka haamil ho doosron ke liye Aadil gawah kaise ban sakta hai. Isi liye zaroori hai ke Sahaba Kiraam Razi Allahu anhum Shahadat (gawahi) ke Aa’laa Miyaar par hon yani un me adalat kaamila paayi jaye goya is aayat se ke Sahaba Kiraam Razi Allahu anhum ki Adaalat e Kaamila ka bhi pata chala.

Tuesday, 4 November 2014

Sahaba Kiraam Ke baare me Quran e Kareem ke Irshadaat 1

Aayat e Quraaniya pesh karne se pehle , ek baat jaan len ke Quran me jahan Momineen Mutaqaddameen, Aulia Allah waghaira ka Lafz istemal kiya hai ya jahan Fauz o Falah ki kisi amal par basharat sunai hai ya jahan Usne Madah o Sanaa aur In’aam o Basharat ke mauqe par jamaa Mukhatab ka Segha ya  zameer Istemal ki hai us ke awwal misdaaq Sahaba e Kiram Rizwanullahi Ta’ala Ajmaeen hai , ye baat itni yaqeeni hai ke jis ka inkar nahi kiya jasakta aur na jis par daleel pesh karne ki hajat hai aur iski wajeh bilkul zaahir hai ke wahi pehle Mukhatab hain is liye un Khitabaat aur un bashaaraton ke pehle mustahiq bhi wahi hain. Ab Quran ki wo Aayaat mulaheza farmayen jin se Sahaba Kiraam razi Allahu anhum ki Qadr o Shaan ka pata chalta hai.
Ayat 1:
Tum me se wo log Barabar nahi hain jinho ne Fateh Makkah se pehle Kharch kiya aur Qitaal kiya, un ka darjah Allah ke yahan Ziada Azeem hai aur har ek se Allah ne Husn yani Jannat ka Wada kar rakha hai, aur Allah Ta’ala ne Ziada kiya hai Mujahideen  ko baithe rehna walon se Ajr e Azeem me.
(4:95)
Maloom hua ke Agarche Fateh Makkah se Qabl jo log Imaan lachuke the aur jinho ne Deen ke liye Jaan O Maal Qurbaan kiya tha wo Fateh Makkah ke baad Islam Qubool karne walon se afzal aur A’laa hain, magar Allah Ta’ala ne baghair kisi takhsees Jannat ka Wada Saare Sahaba razi Allahu anhum se kiya hai chahe wo Fateh Makkah se pehle ke hon ya baad ke.
Saahib e Tafseer e Mazahiri is aayat ke tahet likhte hain
“Ye Aayat is baab me bilkul sareeh hai ke Saare SAhaba pehle ke hon ya baad ke sab se Allah ne Husnaa yani Jannat ka wada kiya hai”
(Tafseer e Mazhari)

Monday, 3 November 2014

Shia Gustakh e Sahaaba

Shia Aur Sahaba
Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Aqeeda Hai Ke
“Muhabbat Karte Hain Hum Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sahaba Se Aur Unme Se Kisi Ki Muhabbat Me Ghulu Nahi Karte Aur Na Un Me Se Kisi Se Bar’at Zaahir Karte Hain Aur Un Logon Se Bughz Rakhte Hain Jo Un (Sahaba) Se Bughz Rakhte Hain Aur Hum Unka Tazkirah Nahi Karte Magar Khair Ke Sath Aur Unse Muhabbat Deen, Imaan Aur Ahsaan Ki Alamat Hai Aur Un Se Bughz Kufr,Nifaaq Aur Sarkashi Hai.
(Aqeedatut Tahawi 29 Aqeeda No 122)

Shiaon Ka Sahaba Ke Baare Me Aqeeda
1. Shiaon Ka Allama Baqar Majlisi Apni Kitab Hayatul Quloob Me Ek Baab Qayam Karta Hai
“Ayesha O Hafsa Ke Bad Bakhtana Halaat Ka Bayan.”(Naoozu Billah Ummat E Muslima Ki Maaon Ke Bare Me In Ka Ye Aqeeda Hai)
(Hayatul Quloob 742)
2. Shiaon Ka Aqeeda Ke Tamam Sahaba Siwaye 3 Ke Murtad Hogaye (Naoozu Billah)
Imam Baqar Ne Farmaya
“Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ke Baad Sab Log Murtad Hogaye, Siwaye 3 Ke, (Rawi Kehta Hai) Maine Arz Kiya Ke Wo 3 Kaun The? To Imam Baqar Ne Farmaya Miqdad Bin Aswad, Abu Zar Ghifari Aur Salman Farsi, In Par Allah Ki Rehmat Ho Aur Uski Barkaten.
(Firo’ Kaafi Jild 3 Kitabur Rauza Safha 115)
Ab Jab Sahaaba Razi Allahu Anhum Ko In Logon Ne Kaafir Keh Diya To Lazimi Natija Hai Ke Quran Par Bhi Motabar Nahi Hoga Isliye In Shiaon Ka Aqeeda Hai Ke
Ye Lijye Inki Motabar Kitab Usoole Kaafi Me Ye Maujood Hai
“Jo Aadmi Ye Dawa Kare Ke Uske Paas Poora Quran Hai Jis Tarah Nazil Hua Tha, Wo Kazzab Hai, Allah Ta’ala Ke Nazil Karne Ke Mutabiq Quran Ko Sirf Ali Bin Abi Talib Hi Ne Aur Unke Baad Aimma(Shia Ke 12 Imam0 Ne Jama Kiya Aur Mehfooz Rakha.(Inke 12we Imam Ghaib Hai Saalon Se.)
(Usool E Kaafi 139)
Ye Mukhtasar Shiaon Ke Bare Me Hum Ne Zikr Kiya Hai Aisi Aisi Sahaba Ke Bare Me  Inki Gustakhiyan Hai Ke Hum Nahi Bayan Karsakte.
Aye Musalmano Ab Bhi Tum Inke Drama(Matam) Ko Jaakar Dekh Kar In Ki Hausla Afzai Karoge Jo Tumhare Sahaba Razi Allahu Anhum Ko Kaafir Kehte Hai.

Aqal Ke Nakhun Lo Musalmano Aur In Se Talluq Mat Rakho Inke Dramo Me Mat Jaao.

Sunday, 2 November 2014

TAREEKHE ISLAM==> I

TAREEKHE ISLAM==> I
>FITNAE MOTAZALA<
Jab Hum Islam ki tareekh par ek Sarsari Nazar daalen to hame pata chalta hai k Hamare ASLAAF ne Deen e Islam ke lye kitni Qurbaniya di hai.
TADWEENE HADEES OR TADWEENE FIQH ke Azeemush shaan karnamo ke Ilawa jab kabhi Islam par BAATIL FIRQO ka Hamla hua tab hi ALLAH ne Apne Baaz bando ko tayyar kiya jo in Hamlo ka Jawab den aur HAQ ko buland kare.
Islam ki doosri sadi hijri me FITNAE MO'TAZALA apne Urooj par tha, aur Woh itne Urooj par tha ke Hukumat ka Mazhab o Nazarya bhi wahi hogaya tha.
Motazala khud ko us daur me RAUSHAN KHAYAL samajhte the aur DEEN KI BAATO ko apni NAQIS AQAL par Toolte the.
Chunanche is Fitne se ladne ke lye Bhot se ALLAH KE BANDE Uthe jinme
IMAM E AHLE SUNNAT AHMED BIN HAMBAL rahmatullahi alaih Akhir Umar tak Pahad ki tarah datey rahe aur Hukumat ke Maslak ka pur Zor rad kya iske lye Apne Badi Takleefen Bardasht ki.
Ap ka inteqal 241 hijri me hua to saara shahar umad aya .
Namaze Janaza padhne Walo ki tadad 840000 thi.
==>Imam Ahmed Rah ke baad is FITNAE AQALYA ki Jaden Ukhadne ke lye Allah Ta'ala ne ek Marde Mujahid ko paida farmaya jin ka Naam ABUL HASAN AL ASH'ARI tha ye 260 hijri me paida hue. Jinho ne MOTAZALA ki eent se Eent baja di aur Unke Aqli baato ka aisa jawab dya ke Motazal baghlen jhankte rehgaye.
Aur Maslake Ahle Sunnat ki bhar poor himayat ki aur Aetezal ke Qile ko jad se ukhad dya.
Inki Wafaat 324 hijri me hui.
Abul Hasan Ashari Ilme kalam ke Faqeeh the.
==> usi Zamane me ILME KALAAM or AQAAIDE ISLAM KE ALIM aur MOTAZALA ke MUQABLE ke lye IMAM ABU MANSOOR MAATRUDI HANAFI paida hue jinhone MOTAZALA ka radd kiya
>FITNAE BAATINYA<
==> Ab islam par aur ek Baatil Firqe ka hamla hua aur Wo Aetezal se aur Ziada Sakht tha aur Wo FITNA BAATINIYAT ka tha jis k Rad ke lye Ek Naye Mutakallim ki Zaroorat thi.
Is Fitne ki Sarkobi ke lye aur Aalame Islam me aur Ilmi dunya me Apne ILM O YAQEEN or Fikr o Nazr se ek Nayi Rooh phoonkne ke lye ek shaqsyat ki zaroorat thi aur Woh IMAM GHAZALI SHAFAI rahmatullahi alaih the.
Imam Ghazali Rahmatullahi alaih 450 hijri me paida hue aur Apne FITNE BAATINYA aur FALSAFE ka is tarah Rad kiya ke Woh phir Sar utha nahi sake aur Zaleel o Ruswa hue.
Apne uske sath sath Zindagi o Maashirat ka Islami o Akhlaqi jayeza lya aur Uski Islah bhi ki.
Is mamle me Apki ek Mashoor o Maroof kitab IHYAAE ULOOME DEEN hai jiski tareekhe islam me koi Nazeer nahi milti.
Apka Inteqal 505 hijri me hua.
Isi Daur me Allah Ta'ala ne Deen ki Dawat or Musalmano me az Sar Nau IMANI HARKAT O HARARAT or Tauba ki kaifyat paida karne k lye 2 Hastyo ko paida kiya jinki Zaat se Deen ko badi Quwwat hasil hui.
Unke Naam
1. Shaikh Abdul Qadar Jeelani Hambali rahmatullahi alaih aur
2. Abdur Rahman Bin Joozi hambali Rahmatullahi alaih hai.
1. Shaikh Abdul Qadar Jeelani Rahmatullahi alaih ki wilada 470 hijri me hui.
Hazrat Shaikh Isteqamat ke pahad the, ittebae Kamil,Ilme Rasikh aur taaide Ghaibi ne apko us Muqam par pohancha dya tha k Haq o Batil, Noor o Zulmat, Ilhame Saheeh aur kaide Shaitani me pura Imtyaz paida hogaya tha.
SHAIKH UMAR KAISANI kehte hai ke Shaikh Abdul Qadar Jeelani Rahmatullahi alaih ki Koi Majlis aisi na hoti thi JISME YAHOODI aur ISAI ISLAM na Qabool karte the aur RAHZAN KHOONI aur Jaraem pesha TAUBA se Musharraf na hote ho, Faasidul Aeteqaad apne GHALAT AQAID se tauba na karte ho.
Apka Inteqal 561 hijri me hua.
2. Allama ibne Joozi hambali Rahmatullahi alaih 508 hijri me paida hue, apko Kitabate Hadis or Kitabo ke Mutaele ka bhot Shauq tha .
Ap ki kaseer tasneefat hai apne Shaitan kis tarah Insan ko Makr o Fareb deta hai uske mutaliq ek Kitab likhi jiska Naam TALBEESE IBLEES hai.
Apne Chote Chote Roz Marrah ke Waqiaat se Sabaq Aamooz Naseehaten nikali.
Apki Majalise Waaz ka haal ye tha k ek ek Waaz me 100000 admi ate the.
Taseer ka ye Alam tha k Log GHASH kha k gir jate the, lojo ki Cheekhen nikal jati thi,ansun ki jhadyan lag jati,
Tauba karne walo ka kuch Shumar na tha, andaza kiya gaya k 20000 Yahoodi o Isai unke Hath par Musalman hue aur 100000 admiyo ne tauba ki.
Apki Wafaat 597 hijri me hui..
(TAREEKH PADHEN, WO QAUM SARBULAND REHTI HAI JINHE APNE MAZI KA ILM HOTA HAI, AJ HUMNE APNE MAZI KO BHULADYA HAI, TAREEKH PADHEN HAME NAYE FITNO SE LADNE KA SALEEKHA TAREEKHA AYEGA INSHA ALLAH)
Allah Ta'ala in Tamam ko Ummate Muhammadia ki taraf se Jazae Khair ata farmaye aur Inke Darajaat ko Buland farmaye aur Hame bhi Apne Deen ki Khidmat ke lye Istemal farmaye.
AMEEN.
====>SHARE<====
FBS

Saturday, 1 November 2014

Muharram aur uske Mutalliq Aqaid part 2


Kya Yaum e Aashoora ka Roza Shahadat ki wajeh se hai?
* 10 Muharram ko Islam se pehle Guzashta Ummaton me badi Izzat o Waqaar ki Nazron se dekha jata tha, Is din Moosa Alaihis salam aur bani Israil ko Allah Ta’ala ne Zaalim Firaon se Najaat di aur wo Zaalim aur uske Rufaqa Behr-e-Qalzam me Gharq kiye (duba diye) gaye, to Moosa alaihis salam ne is din Shukriya ka Roza rakha tha, Aanhazrat sallallahu alaihi wasallam ne bhi Roza rakha.
          Yaum-e-Aashoora Karbala ke Waqie se pehle hi Muazzam o Mukarram Nazron se nawaza gaya tha, ye BilkulGhalat hai ke Syedna Hazrat Hussain razi Allahu anhu ki Shahadat ke baad yaum-e-Aashoora Mohtaram hua aur Waqie Shahadat ki wajeh se roza rakha jata hai; balkeh Saheeh ye hai ke Allah Ta’ala ne Hazrat Imam Hussain razi Allahu anhu ki Shahadat ke liye aisa Mubarak o Muazzam din pasand farmaya jis ki wajeh se Ap ki Shahadat ke Darjaat aur Fazael me ziyadti farmayi.
-Fatawa Raheemiya 2/381, Fatawa Mehmoodiya 6/132

* Zikr-e-Shahadat ka Ayyam-e-Ashrae (10 Din) Muharram me karna Rawafiz(Shia) ki Mushahabat ki wajeh se Mana hai aur MAATAM, NOHA(Rona peetna) karna Haram hai, Hadees Shareef me Ap sallallahu alaihi wasallam ne Marsiyon se mana farmaya hai aur Khilaaf e Riwayaat bayan karna sab Abwaab me Haraam hain, Khaas Dino me Sadqaat Taqseem karna, agar ye janta hai ke Aj Hi Ziada Sawab hai to Bid’at Zalalah hai, kisi din ko khaas kar ke Khaana taqseem karna laghu(bekar cheez) hai, aur Sadqa khaan Maaldaar ke liye Makrooh aur Syed ke liye Haraam hai.
-Fatawa Rasheediya 139
10 Muharram ko Zikr-e-Shahadat ka bayan karna; Agarche Saheeh Riwayaat se ho ya Sabeel laga kar Sharbat pilana Ya Chandah Sabeel Sharbat me dena ya Doodh pilana ye sab Saheeh nahi hai aur Rawafiz se Tashabboh (similarity) ki wajeh se Haraam hai.
-Fatawa Rasheediya 139